ai mazaq-e-justuju-e-dost tu le chal kahin
ai mazāq-e-justujū-e-dost tū le chal kahīñ
ye zamīñ ho yā na ho ye āsmāñ ho yā na ho
sar jhukā.e merī bālīñ se uThā hai chārāgar
ab vo merī iltijā par mehrbāñ ho yā na ho
qissa-e-uftād-e-ġham kah kar subuk-sar kyoñ banūñ
vo mire hāl-e-zabūñ par mehrbāñ ho yā na ho
piine vaale pī magar Thukrā ke pī har qaid-o-band
mai-kada ho yā na ho pīr-e-muġhāñ ho yā na ho
āñsuoñ se dil zarā halkā to ho jaatā hai dost
kyā ḳhabar yuuñ chāra-e-dard-e-nihāñ ho yā na ho
tāqat-e-parvāz hotī jā rahī hai garm-kār
ab chaman ho yā na ho ab āshiyāñ ho yā na ho
chashm-e-dushman meñ hai is bedār-qismat kā maqām
dostoñ ke lab pe merī dāstāñ ho yā na ho
zamzama-pardāz shā'ir chāhiye ab bazm meñ
ahl-e-fan ho yā na ho ahl-e-zabāñ ho yā na ho
ai mazaq-e-justuju-e-dost tu le chal kahin
ye zamin ho ya na ho ye aasman ho ya na ho
sar jhukae meri baalin se uTha hai chaaragar
ab wo meri iltija par mehrban ho ya na ho
qissa-e-uftad-e-gham kah kar subuk-sar kyon banun
wo mere haal-e-zabun par mehrban ho ya na ho
pine wale pi magar Thukra ke pi har qaid-o-band
mai-kada ho ya na ho pir-e-mughan ho ya na ho
aansuon se dil zara halka to ho jata hai dost
kya KHabar yun chaara-e-dard-e-nihan ho ya na ho
taqat-e-parwaz hoti ja rahi hai garm-kar
ab chaman ho ya na ho ab aashiyan ho ya na ho
chashm-e-dushman mein hai is bedar-qismat ka maqam
doston ke lab pe meri dastan ho ya na ho
zamzama-pardaz sha'ir chahiye ab bazm mein
ahl-e-fan ho ya na ho ahl-e-zaban ho ya na ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.