Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein

Hairat Allahabadi

aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein

Hairat Allahabadi

MORE BYHairat Allahabadi

    aks mahbūb aaya jo nazar paanī meñ

    yuuñ lagā jaise utar aaya qamar paanī meñ

    ghol kar zahr vo dete haiñ agar paanī meñ

    aur baḌhtā hai mohabbat asar paanī meñ

    roz paanī pe banātā huuñ maiñ us tasvīr

    aate haiñ ziist ke āsār nazar paanī meñ

    aisā manzil ke qarīñ TuuT ke barsā bādal

    āḳhirash Duub ga.ī rāhguzar paanī meñ

    mire ashkoñ se na dāman tirā jal jaa.e kahīñ

    suntā aaya huuñ ki hotā hai sharar paanī meñ

    umr bhar yuuñ maiñ tūfān-e-balā se khelā

    shaam paanī meñ kaTī aur sahar paanī meñ

    harf aa jā.egā tum par bhī yaqīnan lahro

    Duub kar mar gayā dīvāna agar paanī meñ

    kyoñ na luuñ ise chhū kar ye tire lab aaya

    ho gayā hogā tire lab asar paanī meñ

    mujh ko sab rok rahe the sar-e-sāhil 'hairat'

    maiñ to kartā rahā apnā safar paanī meñ

    aks mahbub ka aaya jo nazar pani mein

    yun laga jaise utar aaya qamar pani mein

    ghol kar zahr wo dete hain agar pani mein

    aur baDhta hai mohabbat ka asar pani mein

    roz pani pe banata hun main us ki taswir

    aate hain zist ke aasar nazar pani mein

    aisa manzil ke qarin TuT ke barsa baadal

    aaKHirash Dub gai rahguzar pani mein

    mere ashkon se na daman tera jal jae kahin

    sunta aaya hun ki hota hai sharar pani mein

    umr bhar yun hi main tufan-e-bala se khela

    sham pani mein kaTi aur sahar pani mein

    harf aa jaega tum par bhi yaqinan lahro

    Dub kar mar gaya diwana agar pani mein

    kyon na pi lun ise chhu kar ye tere lab aaya

    ho gaya hoga tere lab ka asar pani mein

    mujh ko sab rok rahe the sar-e-sahil 'hairat'

    main to karta hi raha apna safar pani mein

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now