andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai
andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai
Zubair Ahmad Hilal
MORE BYZubair Ahmad Hilal
andoh ke maare insāñ ko har lamha girāñ ho jaatā hai
jab Tiis jigar meñ uThtī hai tārīk jahāñ ho jaatā hai
ġhamnāk fazā meñ rakkhī thī buniyād-e-nasheman jab ham ne
ab bād-e-sahar ke chalne par tūfāñ kā gumāñ ho jaatā hai
ye rāh-e-amal hai ai ham-dam dushvārī-e-manzil kyā ma.anī
ḳhāmosh jo ho kar baiTh gayā ġham us kā nishāñ ho jaatā hai
ye baat bhī ab tak ahl-e-chaman mahsūs nahīñ kar paa.e haiñ
jab koī nasheman jaltā hai gulshan meñ dhuāñ ho jaatā hai
ye zabt-e-alam me.arāj sahī pastī se guzarne vāloñ kī
mahkūmī kī hadd-e-fāsil par har zaḳhm zabāñ ho jaatā hai
sayyād qafas ke roz-o-shab pur-kaif sahī lekin aksar
parvāz ke qisse chhiḌte hī dil mahv-e-fuġhāñ ho jaatā hai
hañsne meñ ashk ravāñ honā ye lutf-o-karam un kā hai 'hilāl'
ehsās ke ā.īne meñ magar har zaḳhm zabāñ ho jaatā hai
andoh ke mare insan ko har lamha giran ho jata hai
jab Tis jigar mein uThti hai tarik jahan ho jata hai
ghamnak faza mein rakkhi thi buniyaad-e-nasheman jab hum ne
ab baad-e-sahar ke chalne par tufan ka guman ho jata hai
ye rah-e-amal hai ai ham-dam dushwari-e-manzil kya mani
KHamosh jo ho kar baiTh gaya gham us ka nishan ho jata hai
ye baat bhi ab tak ahl-e-chaman mahsus nahin kar pae hain
jab koi nasheman jalta hai gulshan mein dhuan ho jata hai
ye zabt-e-alam mearaj sahi pasti se guzarne walon ki
mahkumi ki hadd-e-fasil par har zaKHm zaban ho jata hai
sayyaad qafas ke roz-o-shab pur-kaif sahi lekin aksar
parwaz ke qisse chhiDte hi dil mahw-e-fughan ho jata hai
hansne mein ashk rawan hona ye lutf-o-karam un ka hai 'hilal'
ehsas ke aaine mein magar har zaKHm zaban ho jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.