apna mear juda apna hai kirdar juda
apnā me.aar judā apnā hai kirdār judā
apnā saaqī hai judā sāġhar-o-mai-ḳhvār judā
baḳht apnā hai judā apnā hai dildār judā
shoḳh nazreñ haiñ alag abrū-e-ḳhamdār judā
maiñ zamāne se judā kūcha-o-bāzār judā
merā andāz anokhā mirī raftār judā
bazm meñ maiñ bhī raqīboñ ko jagah detā huuñ
jis tarah gul se kabhī ho na sake ḳhaar judā
aisī barsāt kī rut ham ne na dekhī thī kabhī
mai judā abr judā sāqī-o-mai-ḳhvār judā
fasl-e-gul qaid-e-qafas āñkhoñ kā bharnā un par
chhā.ī hai kaalī ghaTā aur hai gulzār judā
koī bargashta rahe baiTh rahe apne ghar
apnī mahfil hai judā dost-o-ġham-ḳhvār judā
aap ke ḳhulq se 'dīvān' sabhī yakjā haiñ
varna landan meñ to rahte rahe fankār judā
ye ġhazal vo hai ki 'dīvān' hameñ kahnā paḌā
tarz apnī hai alag apne haiñ ash.ār judā
apna mear juda apna hai kirdar juda
apna saqi hai juda saghar-o-mai-KHwar juda
baKHt apna hai juda apna hai dildar juda
shoKH nazren hain alag abru-e-KHamdar juda
main zamane se juda kucha-o-bazar juda
mera andaz anokha meri raftar juda
bazm mein main bhi raqibon ko jagah deta hun
jis tarah gul se kabhi ho na sake KHar juda
aisi barsat ki rut hum ne na dekhi thi kabhi
mai juda abr juda saqi-o-mai-KHwar juda
fasl-e-gul qaid-e-qafas aankhon ka bharna un par
chhai hai kali ghaTa aur hai gulzar juda
koi bargashta rahe baiTh rahe apne ghar
apni mahfil hai juda dost-o-gham-KHwar juda
aap ke KHulq se 'diwan' sabhi yakja hain
warna landan mein to rahte rahe fankar juda
ye ghazal wo hai ki 'diwan' hamein kahna paDa
tarz apni hai alag apne hain ashaar juda
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.