apni guftar ka jadu kabhi chalta dekhun
apnī guftār kā jaadū kabhī chaltā dekhūñ
us ke inkār ko iqrār meñ Dhaltā dekhūñ
us kā aanā hai qayāmat to qayāmat hī sahī
aaj ḳhurshīd ko maġhrib se nikaltā dekhūñ
is se pahle mirī āñkhoñ kī basārat chhin jaa.e
kisī dushman ko bhī maiñ aag meñ jaltā dekhūñ
kaash aisī bhī koī iid mire ghar aa.e
apne bachchoñ ko masarrat se uchhaltā dekhūñ
ek pal ke liye mujh se bhī muḳhātib ho jā
maiñ bhī is dil ko zarā der bahaltā dekhūñ
merī āġhosh-e-mohabbat meñ kabhī tū aa.e
garmī-e-shauq se maiñ tujh ko pighaltā dekhūñ
ma.arifat ke liye kaafī hai mirā apnā vajūd
kyā zarūrī hai ki hangāma-e-duniyā dekhūñ
dard-e-dil is liye ḳhāmosh sahe jaatā huuñ
ye gavārā nahīñ mujh ko tujhe rusvā dekhūñ
shahr-e-āzar meñ karūñ ā.ina-sāzī jo 'nadīm'
apnā chehra ka.ī chehroñ meñ badaltā dekhūñ
apni guftar ka jadu kabhi chalta dekhun
us ke inkar ko iqrar mein Dhalta dekhun
us ka aana hai qayamat to qayamat hi sahi
aaj KHurshid ko maghrib se nikalta dekhun
is se pahle meri aankhon ki basarat chhin jae
kisi dushman ko bhi main aag mein jalta dekhun
kash aisi bhi koi id mere ghar aae
apne bachchon ko masarrat se uchhalta dekhun
ek pal ke liye mujh se bhi muKHatib ho ja
main bhi is dil ko zara der bahalta dekhun
meri aaghosh-e-mohabbat mein kabhi tu aae
garmi-e-shauq se main tujh ko pighalta dekhun
marifat ke liye kafi hai mera apna wajud
kya zaruri hai ki hangama-e-duniya dekhun
dard-e-dil is liye KHamosh sahe jata hun
ye gawara nahin mujh ko tujhe ruswa dekhun
shahr-e-azar mein karun aaina-sazi jo 'nadim'
apna chehra kai chehron mein badalta dekhun
- Book : سراب دشت امکاں(غزلیات) (Pg. 75)
- Author : ڈاکٹر امتیاز ندیم
- Publication : مرکزی پبلیکیشنز،نئی دہلی
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.