aql-o-din hai rah-e-junun ke KHilaf
aql-o-dīñ hai rah-e-junūñ ke ḳhilāf
kar rahā huuñ harīm-e-dil kā tavāf
vaqt kā saath chhoḌne vaale
vaqt kartā nahīñ qusūr muaaf
aur kuchh hai ravish zamāne kī
ab na ham vo na sīrat-e-aslāf
sharh-e-ġham to koī gunāh na thī
mujh se kyoñ ho gayā zamāna ḳhilāf
maiñ mohabbat meñ be-qarār sahī
hai ye kis kī ḳhatā qusūr muaaf
muskurātī huī nazar pe na jā
muḳhlisoñ ke bhī dil nahīñ haiñ saaf
rasm-o-ā.īñ kā e.atibār nahīñ
‘hosh’ duniyā hai dushman-e-insāf
aql-o-din hai rah-e-junun ke KHilaf
kar raha hun harim-e-dil ka tawaf
waqt ka sath chhoDne wale
waqt karta nahin qusur muaf
aur kuchh hai rawish zamane ki
ab na hum wo na sirat-e-aslaf
sharh-e-gham to koi gunah na thi
mujh se kyon ho gaya zamana KHilaf
main mohabbat mein be-qarar sahi
hai ye kis ki KHata qusur muaf
muskuraati hui nazar pe na ja
muKHlison ke bhi dil nahin hain saf
rasm-o-ain ka eatibar nahin
‘hosh’ duniya hai dushman-e-insaf
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.