asiran-e-chaman ki chaak-damani nahin jati
asīrān-e-chaman kī chāk-dāmānī nahīñ jaatī
kalī jab phuul ban jaatī hai pahchānī nahīñ jaatī
tirī mahfil se pahle bhī pareshānī muqaddar thī
tirī mahfil meñ aa kar bhī pareshānī nahīñ jaatī
uThā lo jaam baḌh kar jur.at-e-rindāna kahtī hai
yahāñ rindān-e-kam-āmez kī maanī nahīñ jaatī
jalāyā is tarah barq-e-havādis ne gulistāñ ko
ki shāḳh-e-āshiyāñ bhī ham se pahchānī nahīñ jaatī
nigāh-e-shauq thī jo aa.ina asrār-e-'ālam kā
misāl-e-chashm-e-nargis us kī hairānī nahīñ jaatī
na jaane zindagī ne kitne maiḳhāne luñDhā Daale
magar ahl-e-talab kī tishna-sāmānī nahīñ jaatī
vo barbād-e-tamannā huuñ vo bargashta muqaddar huuñ
bahāroñ meñ bhī jis kī ḳhāna-vīrānī nahīñ jaatī
garebāñ chaak hai dāman darīda hai jigar ḳhuuñ hai
‘urūs-e-gul kī lekin ḳhanda-sāmānī nahīñ jaatī
asiran-e-chaman ki chaak-damani nahin jati
kali jab phul ban jati hai pahchani nahin jati
teri mahfil se pahle bhi pareshani muqaddar thi
teri mahfil mein aa kar bhi pareshani nahin jati
uTha lo jam baDh kar jurat-e-rindana kahti hai
yahan rindan-e-kam-amez ki mani nahin jati
jalaya is tarah barq-e-hawadis ne gulistan ko
ki shaKH-e-ashiyan bhi hum se pahchani nahin jati
nigah-e-shauq thi jo aaina asrar-e-'alam ka
misal-e-chashm-e-nargis us ki hairani nahin jati
na jaane zindagi ne kitne maiKHane lunDha Dale
magar ahl-e-talab ki tishna-samani nahin jati
wo barbaad-e-tamanna hun wo bargashta muqaddar hun
bahaaron mein bhi jis ki KHana-virani nahin jati
gareban chaak hai daman darida hai jigar KHun hai
‘urus-e-gul ki lekin KHanda-samani nahin jati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.