auj-e-kamal-e-sher hai hamd-o-sana-giri
auj-e-kamāl-e-sher hai hamd-o-sanā-girī
mujh ko sikhā ga.ī hai yahī kuchh suḳhanvarī
is daur-e-fitna-gar meñ mirī ek baat sun
sab kuchh hai sulh hech hai ye jang-o-dāvarī
lashkar kī fikr taaj kā saudā hai shaah ko
darvesh sirf tālib-e-kunj-e-qalandarī
ruḳh par jo hai ġhubār-e-qanā.at ise na dho
behtar nahīñ hai is se koī kīmiyā-garī
bāzār-e-jāñ meñ shaukat-e-shāhāñ kā zikr kyā
darbār meñ to shart hai iz.hār-e-chākarī
ai dost ek nukta batā.ūñ tujhe ki hai
iqrār-e-bandagī meñ nihāñ rāz-e-sarvarī
'āzād' ashk-hā-e-farāvāñ kī qadr kar
ashkoñ ke nam se hai tirī kisht-e-suḳhanvarī
auj-e-kamal-e-sher hai hamd-o-sana-giri
mujh ko sikha gai hai yahi kuchh suKHanwari
is daur-e-fitna-gar mein meri ek baat sun
sab kuchh hai sulh hech hai ye jang-o-dawari
lashkar ki fikr taj ka sauda hai shah ko
darwesh sirf talib-e-kunj-e-qalandari
ruKH par jo hai ghubar-e-qanaat ise na dho
behtar nahin hai is se koi kimiya-gari
bazar-e-jaan mein shaukat-e-shahan ka zikr kya
darbar mein to shart hai izhaar-e-chaakari
ai dost ek nukta bataun tujhe ki hai
iqrar-e-bandagi mein nihan raaz-e-sarwari
'azad' ashk-ha-e-farawan ki qadr kar
ashkon ke nam se hai teri kisht-e-suKHanwari
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.