baat kya hai wo tajalli ba-sar-e-tur nahin
baat kyā hai vo tajallī ba-sar-e-tūr nahīñ
ishq majbūr sahī husn to majbūr nahīñ
jis meñ marzī ho tirī apnī razā bhī hai vahī
ḳhud-parastī ho mohabbat kā ye dastūr nahīñ
nigah-e-chashm-e-karam kār-e-rafū kartī hai
yaañ durustī dil-e-sad-chāk kī manzūr nahīñ
ab kise sāġhar-e-mai aa ke pilā.e saaqī
nazr-e-sar dene ko sarmad nahīñ mansūr nahīñ
pās-e-sayyād ne rokā hai ba-mushkil varna
tan hai pāband-e-qafas naala to majbūr nahīñ
qahr se tere ziyāda hai ināyat terī
baḳhsh de 'nūr' ko rahmat se ye kuchh duur nahīñ
baat kya hai wo tajalli ba-sar-e-tur nahin
ishq majbur sahi husn to majbur nahin
jis mein marzi ho teri apni raza bhi hai wahi
KHud-parasti ho mohabbat ka ye dastur nahin
nigah-e-chashm-e-karam kar-e-rafu karti hai
yan durusti dil-e-sad-chaak ki manzur nahin
ab kise saghar-e-mai aa ke pilae saqi
nazr-e-sar dene ko sarmad nahin mansur nahin
pas-e-sayyaad ne roka hai ba-mushkil warna
tan hai paband-e-qafas nala to majbur nahin
qahr se tere ziyaada hai inayat teri
baKHsh de 'nur' ko rahmat se ye kuchh dur nahin
- Book : غزل اس نے چھیڑی (Pg. 321)
- Author : فرحت احساس
- Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.