bazar-e-zindagani mein saman ki tarah
bāzār-e-zindagānī meñ sāmān kī tarah
maiñ bik rahā huuñ yūsuf-e-kan.ān kī tarah
jaadū kisī kā mujh pe asar kar na pā.egā
pahnā hai tujh ko naqsh-e-sulaimān kī tarah
aa dekh tere hijr ne kyā haal kar diyā
siina hai merā chaak garebān kī tarah
ālām-e-rozgār meñ uljhī hai zindagī
jānāñ tumhārī zulf-e-pareshān kī tarah
murjhā ga.e haiñ saare tamannāoñ ke gulāb
kHālī paḌā huā huuñ maiñ guldān kī tarah
barsoñ kī āshnā.ī ko yaksar bhulā diyā
pesh aa rahā hai vo kisī anjān kī tarah
dil kī zamīñ pe yādoñ ne ḳhema lagā liyā
baiThā hai terā hijr bhī darbān kī tarah
jaise kisī faqīr ko sadqa diyā gayā
tum ne kiyā hai pyaar bhī ehsān kī tarah
'sāgar' ko maut aa ga.ī marne se peshtar
niklā hai mere jism se tū jaan kī tarah
bazar-e-zindagani mein saman ki tarah
main bik raha hun yusuf-e-kanan ki tarah
jadu kisi ka mujh pe asar kar na paega
pahna hai tujh ko naqsh-e-sulaiman ki tarah
aa dekh tere hijr ne kya haal kar diya
sina hai mera chaak gareban ki tarah
aalam-e-rozgar mein uljhi hai zindagi
jaanan tumhaari zulf-e-pareshan ki tarah
murjha gae hain sare tamannaon ke gulab
kHali paDa hua hun main guldan ki tarah
barson ki aashnai ko yaksar bhula diya
pesh aa raha hai wo kisi anjaan ki tarah
dil ki zamin pe yaadon ne KHema laga liya
baiTha hai tera hijr bhi darban ki tarah
jaise kisi faqir ko sadqa diya gaya
tum ne kiya hai pyar bhi ehsan ki tarah
'sagar' ko maut aa gai marne se peshtar
nikla hai mere jism se tu jaan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.