bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya
bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya
Ahmad Jahangir
MORE BYAhmad Jahangir
bad-nasībī kī suulī pe niiñd aa ga.ī ḳhvāb dekhā magar ḳhvāb ne kyā diyā
ḳhush-gumānī kī ḳhush-rang qindīl ne nā-murādoñ ko sahrā meñ bhaTkā diyā
shāmiyāne meñ dariyāñ lapeTī ga.iiñ dost uThne lage kuchh ne kandhā diyā
bain karte huī aurteñ haT ga.iiñ aur mere janāze ko rasta diyā
do ghaḌī meñ mirī asr Dhaltī huī uTh ke maġhrib kī dīvār se jā lagī
aur mādūm hote hue chāñd ne aah bhartī huī shab ko pursa diyā
maiñ tavaqquf ke kone meñ gosha-nashīñ 'mīr' sāhib kī tasvīr taktā rahā
shabd parde ke pīchhe se zāhir hue sher ne jhuk ke hāthoñ ko bosa diyā
āsmānī sahīfoñ kī tārīḳh hai nā-shanāsoñ meñ haadī satā.e ga.e
pāk-bāzoñ pe tohmat lagā.ī ga.ī pārsāoñ ko duniyā ne dhoka diyā
jab zamāne ke hāthoñ satā.e hue chand sādāt multān meñ bas ga.e
maa.ī dhartī ne māthoñ kī tāzīm kī shāh-e-dariyā ne talvoñ ko bosa diyā
yaar ‘ahmad-jahāñgīr' jiite raho shahr meñ ḳhair-maqdam kā hangām thā
vaah barbat ko sahrā meñ pheñk aa.e ho aur mash.al ko miTTī meñ dafnā diyā
bad-nasibi ki suli pe nind aa gai KHwab dekha magar KHwab ne kya diya
KHush-gumani ki KHush-rang qindil ne na-muradon ko sahra mein bhaTka diya
shamiyane mein dariyan lapeTi gain dost uThne lage kuchh ne kandha diya
bain karte hui aurten haT gain aur mere janaze ko rasta diya
do ghaDi mein meri asr Dhalti hui uTh ke maghrib ki diwar se ja lagi
aur madum hote hue chand ne aah bharti hui shab ko pursa diya
main tawaqquf ke kone mein gosha-nashin 'mir' sahib ki taswir takta raha
shabd parde ke pichhe se zahir hue sher ne jhuk ke hathon ko bosa diya
aasmani sahifon ki tariKH hai na-shanason mein hadi satae gae
pak-bazon pe tohmat lagai gai parsaon ko duniya ne dhoka diya
jab zamane ke hathon satae hue chand sadat multan mein bas gae
mai dharti ne mathon ki tazim ki shah-e-dariya ne talwon ko bosa diya
yar ‘ahmad-jahangir' jite raho shahr mein KHair-maqdam ka hangam tha
wah barbat ko sahra mein phenk aae ho aur mashal ko miTTi mein dafna diya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.