badan mein zahr tha ya iztirab tha kya tha
badan mein zahr tha ya iztirab tha kya tha
Mohammad Siddiq Naqvi
MORE BYMohammad Siddiq Naqvi
badan meñ zahr thā yā iztirāb thā kyā thā
ye zindagī meñ musalsal azaab thā kyā thā
samā.atoñ se badan tak thā chhalnī chhalnī tamām
kisī kā lahja thā yā āftāb thā kyā thā
vo jis kī diid se āñkheñ hamārī ḳhīra huiiñ
kisī kā husn thā yā māhtāb thā kyā thā
maiñ bhāgtā hī rahā tishnagī bujhī na mirī
ye merā vahm thā yā phir sarāb thā kyā thā
girā gayā hai jo shādāb sabz peḌoñ ko
vo zalzala thā ki koī azaab thā kyā thā
jo merī chashm-e-falak par kabhī Thahar na sakā
sahāb thā ki hasīñ ek ḳhvāb thā kyā thā
maiñ apne aap ko hal kar sakā na āḳhir tak
mirā vajūd muamma thā ḳhvāb thā kyā thā
fasād phuuT paḌā shahr meñ mire 'naqvī'
sitam thā qahr thā yaum-ul-hisāb thā kyā thā
badan mein zahr tha ya iztirab tha kya tha
ye zindagi mein musalsal azab tha kya tha
samaaton se badan tak tha chhalni chhalni tamam
kisi ka lahja tha ya aaftab tha kya tha
wo jis ki did se aankhen hamari KHira huin
kisi ka husn tha ya mahtab tha kya tha
main bhagta hi raha tishnagi bujhi na meri
ye mera wahm tha ya phir sarab tha kya tha
gira gaya hai jo shadab sabz peDon ko
wo zalzala tha ki koi azab tha kya tha
jo meri chashm-e-falak par kabhi Thahar na saka
sahab tha ki hasin ek KHwab tha kya tha
main apne aap ko hal kar saka na aaKHir tak
mera wajud muamma tha KHwab tha kya tha
fasad phuT paDa shahr mein mere 'naqwi'
sitam tha qahr tha yaum-ul-hisab tha kya tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.