baDe buzurgon ka hum ehtiram karte hain
baḌe buzurgoñ kā ham ehtirām karte haiñ
safed riish ko jhuk kar salām karte haiñ
sajā.e rakhte haiñ ik mahfil-e-‘azā mujh meñ
vo log jo mire dil meñ qiyām karte haiñ
maiñ un ko dost samajhtā thā aaj tak kyūñkar
jo dushmanī ko shab-o-roz 'aam karte haiñ
maiñ un faqīroñ kī hālat samajh nahīñ sakā huuñ jo
halāl chīzoñ ko ḳhud par harām karte haiñ
ḳhamoshī un ko basar kar nahīñ sakegī kabhī
vo ḳhush-kalām jo ḳhud se kalām karte haiñ
guzārte haiñ ye din dhuup meñ jabhī 'jur.at'
ham ek peḌ ke saa.e meñ shaam karte haiñ
baDe buzurgon ka hum ehtiram karte hain
safed rish ko jhuk kar salam karte hain
sajae rakhte hain ek mahfil-e-‘aza mujh mein
wo log jo mere dil mein qiyam karte hain
main un ko dost samajhta tha aaj tak kyunkar
jo dushmani ko shab-o-roz 'am karte hain
main un faqiron ki haalat samajh nahin saka hun jo
halal chizon ko KHud par haram karte hain
KHamoshi un ko basar kar nahin sakegi kabhi
wo KHush-kalam jo KHud se kalam karte hain
guzarte hain ye din dhup mein jabhi 'jurat'
hum ek peD ke sae mein sham karte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.