baDi gudaz pashemaniyon pe zinda rahe
baḌī gudāz pashemāniyoñ pe zinda rahe
ham apne ḳhvāb kī vīrāniyoñ pe zinda rahe
unheñ lagā thā ki ye log maare jā.eñge
sunahre log hare pāniyoñ pe zinda rahe
sukūn bāñTne vaale ne mere haq meñ kahā
use kaho ki pareshāniyoñ pe zinda rahe
tum us ke hoñT-piyāle ke zā.iqe pe mare
ham us kī aañkh kī hairāniyoñ pe zinda rahe
baDi gudaz pashemaniyon pe zinda rahe
hum apne KHwab ki viraniyon pe zinda rahe
unhen laga tha ki ye log mare jaenge
sunahre log hare paniyon pe zinda rahe
sukun banTne wale ne mere haq mein kaha
use kaho ki pareshaniyon pe zinda rahe
tum us ke honT-piyale ke zaiqe pe mare
hum us ki aankh ki hairaniyon pe zinda rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.