bahadur haar kar bhi shan apni kam nahin karte
bahadur haar kar bhi shan apni kam nahin karte
Dharvendra Singh Bedar
MORE BYDharvendra Singh Bedar
bahādur haar kar bhī shaan apnī kam nahīñ karte
vo apne dushmanoñ ke sāmne sar ḳham nahīñ karte
hamesha sach hī kahte haiñ vagarna chup hī rahte haiñ
siyāsat jhuuT kī lekin kabhī bhī ham nahīñ karte
muqaddar se milā hai jo kisī sūrat nahīñ kam vo
muqaddar meñ nahīñ hai jo ham us kā ġham nahīñ karte
ḳhafā duniyā agar hotī hai ham se be-sabab to ho
kabhī apnī taraf se ham use barham nahīñ karte
munāfa' hī nahīñ gar 'ishq ke byopār meñ koī
to phir chhoḌo ḳhasāre kī tijārat ham nahīñ karte
bahadur haar kar bhi shan apni kam nahin karte
wo apne dushmanon ke samne sar KHam nahin karte
hamesha sach hi kahte hain wagarna chup hi rahte hain
siyasat jhuT ki lekin kabhi bhi hum nahin karte
muqaddar se mila hai jo kisi surat nahin kam wo
muqaddar mein nahin hai jo hum us ka gham nahin karte
KHafa duniya agar hoti hai hum se be-sabab to ho
kabhi apni taraf se hum use barham nahin karte
munafa' hi nahin gar 'ishq ke byopar mein koi
to phir chhoDo KHasare ki tijarat hum nahin karte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.