bahut latif hai ye muKHtasar jahan apna
bahut latīf hai ye muḳhtasar jahāñ apnā
jigar-navāz bhī tū tū hī rāzdāñ apnā
tamām daulat-e-hastī luTā ke māñgūñgā
bahār-e-husn tirī zauq-e-jāvedāñ apnā
baham hue haiñ shanāsā-e-yak-digar donoñ
nigāh-e-nāz tirī qalb-e-ḳhūñ-chakāñ apnā
shafaq meñ sīna-e-gul meñ junūñ kī vaadī meñ
baTā hai ḳhūn-e-jigar bhī kahāñ kahāñ apnā
ye aarzī hī sahī āb-o-rang-e-husn magar
luTā rahī hai ḳhirad in pe kārvāñ apnā
jabīñ-navāz hai jalvoñ kī ye farāvānī
kahāñ hai aaj sar-e-nang-e-āstāñ apnā
navāzishāt-e-guzishta ki ab ḳhayālī haiñ
banā rahā huuñ unhīñ se maiñ gulistāñ apnā
ajiib zauq-fazā justujū kī lazzat hai
bhaTakne do bhī zarā der kārvāñ apnā
hazār kuchh na sahī musht-e-ḳhāk-e-insāñ meñ
urūj-e-arsh pe hai phir bhī āstāñ apnā
na suud hī na ziyāñ hī na ranj-o-rāhat hai
hai aql-o-hosh ke parde meñ imtihāñ apnā
haiñ āshnā-e-havādis to ḳhauf-e-barq hī kyā
dikhā dikhā ke banāte haiñ āshiyāñ apnā
bahut latif hai ye muKHtasar jahan apna
jigar-nawaz bhi tu tu hi raazdan apna
tamam daulat-e-hasti luTa ke mangunga
bahaar-e-husn teri zauq-e-jawedan apna
baham hue hain shanasa-e-yak-digar donon
nigah-e-naz teri qalb-e-KHun-chakan apna
shafaq mein sina-e-gul mein junun ki wadi mein
baTa hai KHun-e-jigar bhi kahan kahan apna
ye aarzi hi sahi aab-o-rang-e-husn magar
luTa rahi hai KHirad in pe karwan apna
jabin-nawaz hai jalwon ki ye farawani
kahan hai aaj sar-e-nang-e-astan apna
nawazishat-e-guzishta ki ab KHayali hain
bana raha hun unhin se main gulistan apna
ajib zauq-faza justuju ki lazzat hai
bhaTakne do bhi zara der karwan apna
hazar kuchh na sahi musht-e-KHak-e-insan mein
uruj-e-arsh pe hai phir bhi aastan apna
na sud hi na ziyan hi na ranj-o-rahat hai
hai aql-o-hosh ke parde mein imtihan apna
hain aashna-e-hawadis to KHauf-e-barq hi kya
dikha dikha ke banate hain aashiyan apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.