barq ke sae mein kaif-e-ashiyan samjha tha main
barq ke saa.e meñ kaif-e-āshiyāñ samjhā thā maiñ
har ma.āl-e-rañg-o-bū ko gulsitāñ samjhā thā maiñ
har numūd-e-ishq meñ soz-e-nihāñ samjhā thā meñ
shāhkār-e-husn ko ātash-bajāñ samjhā thā maiñ
ranj-o-ġham se irtibāt-e-jism-o-jāñ samjhā thā maiñ
hasti-e-nākām ko ḳhvāb-e-girāñ samajhtā thā maiñ
ishq-e-fānī ko nishāt-e-jāvedāñ samjhā thā maiñ
zindagī ke raaz ko ab tak kahāñ samjhā thā maiñ
dil ke har parde se aatī thiiñ sadā.eñ dard kī
barbat-e-hastī pe tum ko naġhma-ḳhvāñ samjhā thā maiñ
kyā ḳhabar thī dil hī merā āstān-e-nāz hai
dil ko ab tak be-niyāz-e-āstāñ samjhā thā maiñ
is liye maiñ iltifāt-e-ḳhās se mahrūm huuñ
joshash-e-sa.ī-e-talab ko rā.egāñ samjhā thā maiñ
ai junūn-e-justujū rāh-e-talab meñ baar baar
har ġhubār-e-kārvāñ ko kārvāñ samjhā thā maiñ
sun rahā thā kaifiyāt-e-zindagī ke vāqi'āt
un ke afsāne ko apnī dāstāñ samjhā thā maiñ
be-niyāz-e-bandagī-e-shauq thī merī ḳhudī
be-ḳhudī meñ ehtirām-e-āstāñ samjhā thā maiñ
is qadar Duubā huā thā e'tibār-e-shauq meñ
har fareb-e-āshiyāñ ko āshiyāñ samjhā thā maiñ
ġhuncha-o-gul hī pe kyā mauqūf thā rāz-e-jamāl
zarre zarre ko chaman ke rāz-dāñ samjhā thā maiñ
dil kī har tafsīr par ḳhāmoshiyāñ detī thiiñ daad
anjuman vāloñ ko mahv-e-dāstāñ samjhā thā maiñ
aap kī zāt-e-girāmī kā na 'irfāñ kar sakā
aap ko lekin sharīk-e-kārvāñ samjhā thā maiñ
jab shikast-e-sāz-e-dil kī 'zeb' jhankāreñ sunīñ
dil kī har dhaḌkan pe tum ko naġhma-ḳhvāñ samjhā thā maiñ
barq ke sae mein kaif-e-ashiyan samjha tha main
har maal-e-rang-o-bu ko gulsitan samjha tha main
har numud-e-ishq mein soz-e-nihan samjha tha mein
shahkar-e-husn ko aatash-bajaan samjha tha main
ranj-o-gham se irtibaat-e-jism-o-jaan samjha tha main
hasti-e-nakaam ko KHwab-e-giran samajhta tha main
ishq-e-fani ko nishat-e-jawedan samjha tha main
zindagi ke raaz ko ab tak kahan samjha tha main
dil ke har parde se aati thin sadaen dard ki
barbat-e-hasti pe tum ko naghma-KHwan samjha tha main
kya KHabar thi dil hi mera aastan-e-naz hai
dil ko ab tak be-niyaz-e-astan samjha tha main
is liye main iltifat-e-KHas se mahrum hun
joshash-e-sai-e-talab ko raegan samjha tha main
ai junun-e-justuju rah-e-talab mein bar bar
har ghubar-e-karwan ko karwan samjha tha main
sun raha tha kaifiyat-e-zindagi ke waqi'at
un ke afsane ko apni dastan samjha tha main
be-niyaz-e-bandagi-e-shauq thi meri KHudi
be-KHudi mein ehtiram-e-astan samjha tha main
is qadar Duba hua tha e'tibar-e-shauq mein
har fareb-e-ashiyan ko aashiyan samjha tha main
ghuncha-o-gul hi pe kya mauquf tha raaz-e-jamal
zarre zarre ko chaman ke raaz-dan samjha tha main
dil ki har tafsir par KHamoshiyan deti thin dad
anjuman walon ko mahw-e-dastan samjha tha main
aap ki zat-e-girami ka na 'irfan kar saka
aap ko lekin sharik-e-karwan samjha tha main
jab shikast-e-saz-e-dil ki 'zeb' jhankaren sunin
dil ki har dhaDkan pe tum ko naghma-KHwan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.