bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah
bayān sun na sakā jab koī bayāñ kī tarah
sunāyā hāl-e-dil-e-zār dāstāñ kī tarah
ye rāz-e-'ishq hamesha ko raaz rah jaatā
nigāh kaam na kartī agar zabāñ kī tarah
kahīñ hai bū-e-tamannā gul-e-murād kahīñ
nihāl dil kā hai phailāo gulsitāñ kī tarah
kisī ke ḳhanda-e-be-jā kā ab nahīñ shikva
fuġhāñ bhī dil se nikaltī nahīñ fuġhāñ kī tarah
ḳhayāl meñ haiñ bahāreñ nigāh meñ gulshan
guzar rahī hai qafas meñ bhī āshiyāñ kī tarah
banī hai dushman-e-har-ārzū vahī hasrat
lagā ke siine se rakhtā huuñ us ko jaañ kī tarah
jabīn-e-shauq batā.egī lazzat-e-sajda
na dair hai na haram un ke āstāñ kī tarah
zamāna aaj bhī nā-vāqif-e-haqīqat hai
kabhī bahār-e-chaman huuñ kabhī ḳhizāñ kī tarah
miTā ke hastī-e-dil bhī sukūn-e-dil na milā
zamīñ hai sāya-fagan sar pe āsmāñ kī tarah
kabhī na jhuk ke rahīñ sar-bulandiyāñ merī
zamīñ pe 'umr guzārī hai āsmāñ kī tarah
'munīr' un kī nazar ne badal diyā mujh ko
ki ab hañsī bhī jo aatī hai to fuġhāñ kī tarah
bayan sun na saka jab koi bayan ki tarah
sunaya haal-e-dil-e-zar dastan ki tarah
ye raaz-e-'ishq hamesha ko raaz rah jata
nigah kaam na karti agar zaban ki tarah
kahin hai bu-e-tamanna gul-e-murad kahin
nihaal dil ka hai phailao gulsitan ki tarah
kisi ke KHanda-e-be-ja ka ab nahin shikwa
fughan bhi dil se nikalti nahin fughan ki tarah
KHayal mein hain bahaaren nigah mein gulshan
guzar rahi hai qafas mein bhi aashiyan ki tarah
bani hai dushman-e-har-arzu wahi hasrat
laga ke sine se rakhta hun us ko jaan ki tarah
jabin-e-shauq bataegi lazzat-e-sajda
na dair hai na haram un ke aastan ki tarah
zamana aaj bhi na-waqif-e-haqiqat hai
kabhi bahaar-e-chaman hun kabhi KHizan ki tarah
miTa ke hasti-e-dil bhi sukun-e-dil na mila
zamin hai saya-fagan sar pe aasman ki tarah
kabhi na jhuk ke rahin sar-bulandiyan meri
zamin pe 'umr guzari hai aasman ki tarah
'munir' un ki nazar ne badal diya mujh ko
ki ab hansi bhi jo aati hai to fughan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.