be-laus ho jo aisa bashar DhunD rahe hain
be-laus ho jo aisā bashar DhūñD rahe haiñ
goyā ki vo sahrā meñ shajar DhūñD rahe haiñ
ham ahl-e-junūñ dard-e-mohabbat ke haiñ ḳhūgar
marham kī tarah zaḳhm-e-jigar DhūñD rahe haiñ
iḳhlās-o-mohabbat ke shajar kāTne vaale
kyoñ mehr-o-muravvat ke samar DhūñD rahe haiñ
vo jin ke liye tishna thiiñ be-ḳhvāb nigāheñ
ḳhud aaj mirī pyāsī nazar DhūñD rahe haiñ
karte nahīñ sailāb-e-masā.il kā mudāvā
aḳhbār sabhī taaza ḳhabar DhūñD rahe haiñ
patthar ke makīñ rahte haiñ patthar ke nagar meñ
sīnoñ meñ kyoñ ham un ke sharar DhūñD rahe haiñ
duniyā kī tabāhī pe kahāñ apnī nazar hai
ham roz na.e ilm hunar DhūñD rahe haiñ
sarkash bhī munāfiq bhī haiñ karte nahīñ tauba
'shāmā' vo duāoñ meñ asar DhūñD rahe haiñ
be-laus ho jo aisa bashar DhunD rahe hain
goya ki wo sahra mein shajar DhunD rahe hain
hum ahl-e-junun dard-e-mohabbat ke hain KHugar
marham ki tarah zaKHm-e-jigar DhunD rahe hain
iKHlas-o-mohabbat ke shajar kaTne wale
kyon mehr-o-murawwat ke samar DhunD rahe hain
wo jin ke liye tishna thin be-KHwab nigahen
KHud aaj meri pyasi nazar DhunD rahe hain
karte nahin sailab-e-masail ka mudawa
aKHbar sabhi taza KHabar DhunD rahe hain
patthar ke makin rahte hain patthar ke nagar mein
sinon mein kyon hum un ke sharar DhunD rahe hain
duniya ki tabahi pe kahan apni nazar hai
hum roz nae ilm hunar DhunD rahe hain
sarkash bhi munafiq bhi hain karte nahin tauba
'shama' wo duaon mein asar DhunD rahe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.