be-sutun ek aasman ko dekhte rahte hain hum
be-sutūñ ik āsmāñ ko dekhte rahte haiñ ham
ik ḳhalā-e-be-karāñ ko dekhte rahte haiñ ham
kyā bashar kā haal ho jaatā hai un ke darmiyāñ
is zamīn-o-āsmāñ ko dekhte rahte haiñ ham
rahbaroñ kī bhiiḌ meñ kuchh rāhzan bhī haiñ sharīk
ab to mīr-e-kārvāñ ko dekhte rahte haiñ ham
hai ḳhatā kis kī sazā miltī hai kis ko dekhiye
ab jalāl-e-hukmarāñ ko dekhte rahte haiñ ham
Thiik karne kī to koshish kī magar anjām-e-kār
apne is bigḌe jahāñ ko dekhte rahte haiñ ham
har ghaḌī pesh-e-nazar rahtī hai 'farhat' maslahat
har ghaḌī sūd-o-ziyāñ ko dekhte rahte haiñ ham
be-sutun ek aasman ko dekhte rahte hain hum
ek KHala-e-be-karan ko dekhte rahte hain hum
kya bashar ka haal ho jata hai un ke darmiyan
is zamin-o-asman ko dekhte rahte hain hum
rahbaron ki bhiD mein kuchh rahzan bhi hain sharik
ab to mir-e-karwan ko dekhte rahte hain hum
hai KHata kis ki saza milti hai kis ko dekhiye
ab jalal-e-hukmaran ko dekhte rahte hain hum
Thik karne ki to koshish ki magar anjam-e-kar
apne is bigDe jahan ko dekhte rahte hain hum
har ghaDi pesh-e-nazar rahti hai 'farhat' maslahat
har ghaDi sud-o-ziyan ko dekhte rahte hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.