bechaare sahra ko ek niwala nahin bacha hai
bechāre sahrā ko ik nivāla nahīñ bachā hai
hamāre paañv meñ koī chhālā nahīñ bachā hai
vo shahr-e-hijrāñ kā āḳhirī fard thā so ḳhush thā
ki us se koī bichhaḌne vaalā nahīñ bachā hai
siyāh zehnoñ ne mil ke aise añdhere bo.e
kisī tasavvur meñ bhī ujālā nahīñ bachā hai
ġharīb jamunā kā sar paTaknā batā rahā hai
jo dhun sunātā thā vo gavālā nahīñ bachā hai
palaT ke dil ko na aao ummīdo lauT jaao
Thikānā ḳhud ham ne phūñk Daalā nahīñ bachā hai
jo dastaras ke shikār haiñ vo ye jānte haiñ
haañ un pe ab ek bhī havāla nahīñ bachā hai
bechaare sahra ko ek niwala nahin bacha hai
hamare panw mein koi chhaala nahin bacha hai
wo shahr-e-hijran ka aaKHiri fard tha so KHush tha
ki us se koi bichhaDne wala nahin bacha hai
siyah zehnon ne mil ke aise andhere boe
kisi tasawwur mein bhi ujala nahin bacha hai
gharib jamuna ka sar paTakna bata raha hai
jo dhun sunata tha wo gawala nahin bacha hai
palaT ke dil ko na aao ummido lauT jao
Thikana KHud hum ne phunk Dala nahin bacha hai
jo dastaras ke shikar hain wo ye jaante hain
han un pe ab ek bhi hawala nahin bacha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.