bhanwar se naw ke palDe bachane paDte hain
bhañvar se naav ke palḌe bachāne paḌte haiñ
mujhe ye log kināre lagāne paḌte haiñ
so itnā sahl mohabbat ko le na shahzādī
gudāz poroñ se kāñTe uThāne paḌte haiñ
kabhī jo haal ko chehre se bhāñp letā thā
ab us ko rañj bhī ro kar batāne paḌte haiñ
hamārī shāḳhoñ tak aatī hai jab ḳhizāñ kī shunīd
ham aise peḌoñ ko patte girāne paḌte haiñ
tapish bhī dhuup kī lagne na dī ho jin ko kabhī
vo pyāre miTTī meñ ik din dabāne paḌte haiñ
vo shaḳhs merī 'hasan' ek bhī nahīñ suntā
maiñ kyā karūñ mujhe aañsū bahāne paḌte haiñ
bhanwar se naw ke palDe bachane paDte hain
mujhe ye log kinare lagane paDte hain
so itna sahl mohabbat ko le na shahzadi
gudaz poron se kanTe uThane paDte hain
kabhi jo haal ko chehre se bhanp leta tha
ab us ko ranj bhi ro kar batane paDte hain
hamari shaKHon tak aati hai jab KHizan ki shunid
hum aise peDon ko patte girane paDte hain
tapish bhi dhup ki lagne na di ho jin ko kabhi
wo pyare miTTi mein ek din dabane paDte hain
wo shaKHs meri 'hasan' ek bhi nahin sunta
main kya karun mujhe aansu bahane paDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.