bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna
bujh ga.ī aag to kamre meñ dhuāñ hī rakhnā
dil meñ ik gosha-e-ehsās-e-ziyāñ hī rakhnā
phir isī rah se milegī na.e iblāġh ko samt
sher ko dard kā uslūb-e-bayāñ hī rakhnā
aah manzar ko ye barfātī huī be-safarī
saath pighle hue rastoñ ke nishāñ hī rakhnā
kah na saknā bhī bahut kuchh hai riyāzat ho agar
zaḳhm hoñToñ ke sar-e-ijz-e-bayāñ hī rakhnā
jaise vo sāneha lamha bhī zamāna bhī hai 'sāz'
yaad us shaḳhs ke jaane kā samāñ hī rakhnā
bujh gai aag to kamre mein dhuan hi rakhna
dil mein ek gosha-e-ehsas-e-ziyan hi rakhna
phir isi rah se milegi nae iblagh ko samt
sher ko dard ka uslub-e-bayan hi rakhna
aah manzar ko ye barfati hui be-safari
sath pighle hue raston ke nishan hi rakhna
kah na sakna bhi bahut kuchh hai riyazat ho agar
zaKHm honTon ke sar-e-ijz-e-bayan hi rakhna
jaise wo saneha lamha bhi zamana bhi hai 'saz'
yaad us shaKHs ke jaane ka saman hi rakhna
- Book : sargoshiyan zamanon ki (Pg. 137)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.