bujhe diye ko bhi jhuk kar salam karta hun
bujhe diye ko bhī jhuk kar salām kartā huuñ
maiñ raushnī kā baḌā ehtirām kartā huuñ
kabhī kabhī to mirī ḳhāmushī sulagtī hai
kabhī kabhī to maiñ ḳhud se kalām kartā huuñ
darūd paḌhtā huuñ din bhar kisī kī furqat meñ
kisī kī aañkh meñ shab bhar qiyām kartā huuñ
shab-e-firāq tū itnī bhī muzmahil kyoñ hai
tujhe qubūl ba-sad-ehtirām kartā huuñ
zarūrī baat to ye hai ki tū zarūrī hai
isī pe guftugū saarī tamām kartā huuñ
kisī charāġh ko kartā huuñ aañkh meñ raushan
kisī ḳhayāl kī lau se kalām kartā huuñ
use to fikr zarā bhī nahīñ rahī merī
maiñ jis ke zo'm meñ nīñdeñ harām kartā huuñ
yahī ḳharābī hai 'irfān' merī fitrat meñ
vafā ke saare havāloñ ko aam kartā ho
bujhe diye ko bhi jhuk kar salam karta hun
main raushni ka baDa ehtiram karta hun
kabhi kabhi to meri KHamushi sulagti hai
kabhi kabhi to main KHud se kalam karta hun
darud paDhta hun din bhar kisi ki furqat mein
kisi ki aankh mein shab bhar qiyam karta hun
shab-e-firaq tu itni bhi muzmahil kyon hai
tujhe qubul ba-sad-ehtiram karta hun
zaruri baat to ye hai ki tu zaruri hai
isi pe guftugu sari tamam karta hun
kisi charagh ko karta hun aankh mein raushan
kisi KHayal ki lau se kalam karta hun
use to fikr zara bhi nahin rahi meri
main jis ke zo'm mein ninden haram karta hun
yahi KHarabi hai 'irfan' meri fitrat mein
wafa ke sare hawalon ko aam karta ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.