burai ko burai fan ko fan kahna hi paDta hai
burā.ī ko burā.ī fan ko fan kahnā hī paḌtā hai
jo haq hai vo sar-e-dār-o-rasan kahnā hī paḌtā hai
kabhī pūchhī na ahl-e-anjuman kī baat bhī tum ne
tumheñ is par bhī rūh-e-anjuman kahnā hī paḌtā hai
nazar aatī hai apnī pārsā.ī shaiḳh ko isyāñ
tirī añgḌā.ī ko tauba-shikan kahnā hī paḌtā hai
shikār-e-sard-mehrī-e-vatan huuñ ye to bar-haq hai
magar apne vatan ko to vatan kahnā hī paḌtā hai
jinheñ apnā kabhī kahte the ham un ko hī begāna
ba-faiz-e-gardish-e-charḳh-e-kuhan kahnā hī paḌtā hai
surūr-e-bāda-e-hastī ko is daur-e-tabāhī meñ
shahīd-e-talḳhī-e-kām-o-dahan kahnā hī paḌtā hai
balā se rahbarān-e-asr mujh ko be-adab samjheñ
mujhe har rāhzan ko rāhzan kahnā hī paḌtā hai
kahīñ soz-e-ġham-e-pinhāñ se zanjīreñ pighaltī haiñ
use dīvānoñ kā dīvāna-pan kahnā hī paḌtā hai
ḳhizāñ kā laal ho yā fasl-e-gul kī god kā paalā
chaman ko to bahar-sūrat chaman kahnā hī paḌtā hai
ujāle zulmatoñ kī laash par taḳhlīq hote haiñ
sahar ko shab kī mayyat kā kafan kahnā hī paḌtā hai
jahāñ taḳhlīq par pābandiyāñ hoñ fikr par pahre
use dār-o-rasan kī anjuman kahnā hī paḌtā hai
ḳhafā haiñ hosh-mandān-e-jahāñ par josh-e-vahshat meñ
jo aa jaatā hai lab par ai 'hasan' kahnā hī paḌtā hai
burai ko burai fan ko fan kahna hi paDta hai
jo haq hai wo sar-e-dar-o-rasan kahna hi paDta hai
kabhi puchhi na ahl-e-anjuman ki baat bhi tum ne
tumhein is par bhi ruh-e-anjuman kahna hi paDta hai
nazar aati hai apni parsai shaiKH ko isyan
teri angDai ko tauba-shikan kahna hi paDta hai
shikar-e-sard-mehri-e-watan hun ye to bar-haq hai
magar apne watan ko to watan kahna hi paDta hai
jinhen apna kabhi kahte the hum un ko hi begana
ba-faiz-e-gardish-e-charKH-e-kuhan kahna hi paDta hai
surur-e-baada-e-hasti ko is daur-e-tabahi mein
shahid-e-talKHi-e-kaam-o-dahan kahna hi paDta hai
bala se rahbaran-e-asr mujh ko be-adab samjhen
mujhe har rahzan ko rahzan kahna hi paDta hai
kahin soz-e-gham-e-pinhan se zanjiren pighalti hain
use diwanon ka diwana-pan kahna hi paDta hai
KHizan ka lal ho ya fasl-e-gul ki god ka pala
chaman ko to bahar-surat chaman kahna hi paDta hai
ujale zulmaton ki lash par taKHliq hote hain
sahar ko shab ki mayyat ka kafan kahna hi paDta hai
jahan taKHliq par pabandiyan hon fikr par pahre
use dar-o-rasan ki anjuman kahna hi paDta hai
KHafa hain hosh-mandan-e-jahan par josh-e-wahshat mein
jo aa jata hai lab par ai 'hasan' kahna hi paDta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.