but KHuda kaba sanam-KHana bana sakti hai
but ḳhudā ka.aba sanam-ḳhāna banā saktī hai
kyā se kyā jur.at-e-rindāna banā saktī hai
jism ke ḳhol meñ haivāñ ko chhupā kar tahzīb
shahr ke vast meñ vīrāna banā saktī hai
vāqi.a shart nahīñ hai ki zabān-e-maḳhlūq
baat be-bāt bhī afsāna banā saktī hai
sa.ī se ban nahīñ saktī hai azal kī bigḌī
ye tirī shān-e-karīmāna banā saktī hai
zehn kī soch pe mabnī hai bahisht-o-dozaḳh
aql ye bastiyāñ rozāna banā saktī hai
khusravī apnī jagah ḳhuub hai lekin dil ko
mutma.in tab-e-faqīrāna banā saktī hai
kis ko ma.alūm thā 'shaukat' ki ab is umr meñ bhī
ek laḌkī hameñ dīvāna banā saktī hai
but KHuda kaba sanam-KHana bana sakti hai
kya se kya jurat-e-rindana bana sakti hai
jism ke KHol mein haiwan ko chhupa kar tahzib
shahr ke wast mein virana bana sakti hai
waqia shart nahin hai ki zaban-e-maKHluq
baat be-baat bhi afsana bana sakti hai
sai se ban nahin sakti hai azal ki bigDi
ye teri shan-e-karimana bana sakti hai
zehn ki soch pe mabni hai bahisht-o-dozaKH
aql ye bastiyan rozana bana sakti hai
khusrawi apni jagah KHub hai lekin dil ko
mutmain tab-e-faqirana bana sakti hai
kis ko malum tha 'shaukat' ki ab is umr mein bhi
ek laDki hamein diwana bana sakti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.