chah ke uljhe hue rishte ko suljhane chale
chaah ke uljhe hue rishte ko suljhāne chale
uljhaneñ had se baḌhīñ to dil ko bahkāne chale
pī gayā tishna-dahānī meñ ḳhudā jaane maiñ kyā
kyoñ rasīlī aañkh se vo aag bhaḌkāne chale
aa.ina jauhar se ḳhālī ho to ā.īna nahīñ
is Dhale chehre pe kyā tum husn chamkāne chale
sarguzisht apne fasāne kī kahūñ kyā ai nadīm
munsifī phir uTh ga.ī jab ḳhud vo samjhāne chale
mo.ajiza is mājrā-e-dil kā ab to maan lo
sab hue mushtāq jab ham kah ke afsāne chale
ġham ho yā rāhat kisī se dil bahaltā hī nahīñ
jab na kuchh bhī ban paḌī to ḳhud ko phuslāne chale
raah meñ kāñTe bichhā.e the jinhoñ ne aaj kyoñ
baaġh meñ dekhā to hañs kar phuul barsāne chale
rāz-e-dil kuchh pā ga.e 'dīvān' sāhib varna to
kis ḳhushī meñ vo hamāre ranj-o-ġham khāne chale
chah ke uljhe hue rishte ko suljhane chale
uljhanen had se baDhin to dil ko bahkane chale
pi gaya tishna-dahani mein KHuda jaane main kya
kyon rasili aankh se wo aag bhaDkane chale
aaina jauhar se KHali ho to aaina nahin
is Dhale chehre pe kya tum husn chamkane chale
sarguzisht apne fasane ki kahun kya ai nadim
munsifi phir uTh gai jab KHud wo samjhane chale
moajiza is majra-e-dil ka ab to man lo
sab hue mushtaq jab hum kah ke afsane chale
gham ho ya rahat kisi se dil bahalta hi nahin
jab na kuchh bhi ban paDi to KHud ko phuslane chale
rah mein kanTe bichhae the jinhon ne aaj kyon
bagh mein dekha to hans kar phul barsane chale
raaz-e-dil kuchh pa gae 'diwan' sahib warna to
kis KHushi mein wo hamare ranj-o-gham khane chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.