chāñd jis vaqt Dhalne lagtā hai
ghar meñ sūraj nikalne lagtā hai
pahle paḌtī hai dhuup jismoñ par
phir to saaya bhī jalne lagtā hai
vahshat-e-ġham utarne lagtī hai
ek ḳhatra jo Talne lagtā hai
ek patthar meñ jaan hai sab kī
phir vo patthar pighalne lagtā hai
saarā manzar badal sā jaatā hai
jab vo pahlū badalne lagtā hai
paaoñ rakhtā hai apne jhiil meñ vo
aur paanī ubalne lagtā hai
do qadam jis ke saath chaltā huuñ
vo hī rasta badalne lagtā hai
lazzat-e-dīd jab adhūrī ho
chāñd hamrāh chalne lagtā hai
lafz jab bāzyāb hote haiñ
lab pe misra machalne lagtā hai
jab sitārā ho auj par 'āsim'
kam-nazar bhī uchhalne lagtā hai
chand jis waqt Dhalne lagta hai
ghar mein suraj nikalne lagta hai
pahle paDti hai dhup jismon par
phir to saya bhi jalne lagta hai
wahshat-e-gham utarne lagti hai
ek KHatra jo Talne lagta hai
ek patthar mein jaan hai sab ki
phir wo patthar pighalne lagta hai
sara manzar badal sa jata hai
jab wo pahlu badalne lagta hai
paon rakhta hai apne jhil mein wo
aur pani ubalne lagta hai
do qadam jis ke sath chalta hun
wo hi rasta badalne lagta hai
lazzat-e-did jab adhuri ho
chand hamrah chalne lagta hai
lafz jab bazyab hote hain
lab pe misra machalne lagta hai
jab sitara ho auj par 'asim'
kam-nazar bhi uchhalne lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.