chand ke ruKH pe jo zaKHmon ka na ghaza hota
chāñd ke ruḳh pe jo zaḳhmoñ kā na ġhāza hotā
phir to vo chāñd na hotā koī shīsha hotā
kam se kam log to ruk kar zarā paḌhte mujh ko
kaash maiñ bhī kisī dīvār kā katba hotā
jis taraf dekhiye patthar hī se chehre haiñ yahāñ
phuul se lab na sahī phuul sā lahja hotā
jaane kin sahme hue ḳhvāboñ kā bantā madfan
apne is daur meñ gar maiñ koī naġhma hotā
bas yahī ek ḳhalish dil meñ sisaktī hai sadā
tū mirā jism kabhī maiñ tirā saaya hotā
itnī tasvīreñ sajā rakkhī haiñ tū ne dil meñ
tere album meñ mirā bhī koī chehra hotā
yuuñ sitāre na kabhī shaam se chīḳhā karte
sīna-e-shab meñ agar sub.h kā naqsha hotā
shahr meñ kitne safīrān-e-junūñ aa.e haiñ
in ke e.azāz meñ 'at.har' koī jalsa hotā
chand ke ruKH pe jo zaKHmon ka na ghaza hota
phir to wo chand na hota koi shisha hota
kam se kam log to ruk kar zara paDhte mujh ko
kash main bhi kisi diwar ka katba hota
jis taraf dekhiye patthar hi se chehre hain yahan
phul se lab na sahi phul sa lahja hota
jaane kin sahme hue KHwabon ka banta madfan
apne is daur mein gar main koi naghma hota
bas yahi ek KHalish dil mein sisakti hai sada
tu mera jism kabhi main tera saya hota
itni taswiren saja rakkhi hain tu ne dil mein
tere album mein mera bhi koi chehra hota
yun sitare na kabhi sham se chiKHa karte
sina-e-shab mein agar subh ka naqsha hota
shahr mein kitne safiran-e-junun aae hain
in ke eazaz mein 'athar' koi jalsa hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.