chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai
chalī mastānoñ kī Tolī ki ab mausam badaltā hai
hai rangoñ se bharī jholī ki ab mausam badaltā hai
chaman meñ shor-o-ġhul hai aur rangoñ kī haiñ barsāteñ
biraj meñ aaj hai horī ki ab mausam badaltā hai
sadā koyal kī jab aa.e shajar pe baur bhar aa.e
mahak uThtī hai amrā.ī ki ab mausam badaltā hai
bichhaune lag ga.e chhat par sitāre 'arsh par chhā.e
surāhī bhī bharī rakkhī ki ab mausam badaltā hai
ghaTā vaadī pe ghir aatī havā meñ tāzgī laatī
papīhe ne sadā de dī ki ab mausam badaltā hai
koī bijlī kahīñ chamkī koī badrī kahīñ barsī
suhānī shaam sāvan kī ki ab mausam badaltā hai
paḌī jo buuñd bārish kī to soñdhī miTTī mahkī yuuñ
chaman mahkā kalī chaTkī ki ab mausam badaltā hai
chalī aatī haiñ sub.heñ ab gulābī oḌhnī pahne
sajī phūloñ se hai dhartī ki ab mausam badaltā hai
sitāre muskurāte haiñ falak pe jhilmilāte haiñ
havā meñ ḳhunkī hai thoḌī ki ab mausam badaltā hai
kabhī jab shaam Dhal jaa.e havā jab sard ho jaa.e
bharī ho chaa.e kī pyālī ki ab mausam badaltā hai
umangeñ aur javāñ rāteñ kabhī sho'la kabhī shabnam
pa ab zulfoñ meñ hai chāñdī ki ab mausam badaltā hai
vahī gul thā vahī ḳhushbū magar gulshan banā dushman
ḳhizāñ aa.ī chalī āñdhī ki ab mausam badaltā hai
dhanak ke rang bikhrā do mohabbat jaag jā.egī
zamāne ko sikhā degī ki ab mausam badaltā hai
diloñ meñ qaid the tanhā ye mausam chāhatoñ ke sab
mohabbat ne sadā de dī ki ab mausam badaltā hai
guloñ se rang-o-bū chun kar sajā le zindagī 'resham'
mahaktī raat kī raanī ki ab mausam badaltā hai
chali mastanon ki Toli ki ab mausam badalta hai
hai rangon se bhari jholi ki ab mausam badalta hai
chaman mein shor-o-ghul hai aur rangon ki hain barsaten
biraj mein aaj hai hori ki ab mausam badalta hai
sada koyal ki jab aae shajar pe baur bhar aae
mahak uThti hai amrai ki ab mausam badalta hai
bichhaune lag gae chhat par sitare 'arsh par chhae
surahi bhi bhari rakkhi ki ab mausam badalta hai
ghaTa wadi pe ghir aati hawa mein tazgi lati
papihe ne sada de di ki ab mausam badalta hai
koi bijli kahin chamki koi badri kahin barsi
suhani sham sawan ki ki ab mausam badalta hai
paDi jo bund barish ki to sondhi miTTi mahki yun
chaman mahka kali chaTki ki ab mausam badalta hai
chali aati hain subhen ab gulabi oDhni pahne
saji phulon se hai dharti ki ab mausam badalta hai
sitare muskuraate hain falak pe jhilmilate hain
hawa mein KHunki hai thoDi ki ab mausam badalta hai
kabhi jab sham Dhal jae hawa jab sard ho jae
bhari ho chae ki pyali ki ab mausam badalta hai
umangen aur jawan raaten kabhi sho'la kabhi shabnam
pa ab zulfon mein hai chandi ki ab mausam badalta hai
wahi gul tha wahi KHushbu magar gulshan bana dushman
KHizan aai chali aandhi ki ab mausam badalta hai
dhanak ke rang bikhra do mohabbat jag jaegi
zamane ko sikha degi ki ab mausam badalta hai
dilon mein qaid the tanha ye mausam chahaton ke sab
mohabbat ne sada de di ki ab mausam badalta hai
gulon se rang-o-bu chun kar saja le zindagi 'resham'
mahakti raat ki rani ki ab mausam badalta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.