Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman kal tha jo sahra ho gaya hai

Naseem Ajmal

chaman kal tha jo sahra ho gaya hai

Naseem Ajmal

MORE BYNaseem Ajmal

    chaman kal thā jo sahrā ho gayā hai

    ajab rūhoñ Derā ho gayā hai

    tamāshā sab nazar ho chukā bas

    badan rang gahrā ho gayā hai

    vo aahaT aaj kaisī be-sadā hai

    ye mujh meñ kaun bahrā ho gayā hai

    ye dariyā saarā patthar ban chukā hai

    ye ehsās gahrā ho gayā hai

    parinda ḳhuuñ se tar āñkhoñ meñ uḌtā

    safar apnā sunahrā ho gayā hai

    maiñ jin saḌkoñ par aksar ghūmtā thā

    vahāñ par aaj pahrā ho gayā hai

    vo merā haath thāme kah rahā hai

    chalo ghar ab añdherā ho gayā hai

    bas ik āvāz ghar meñ gūñjtī hai

    zarā so le saverā ho gayā hai

    sunegā kyā sitāroñ sadā.eñ

    mirā ākāsh bahrā ho gayā hai

    bichhaḌ kar ḳhud se maiñ rotā thā pahroñ

    ye sadma bhī ikahrā ho gayā hai

    maiñ us ke ġham meñ 'ajmal' Dūbtā kyā

    samundar aur gahrā ho gayā he

    chaman kal tha jo sahra ho gaya hai

    ajab ruhon ka Dera ho gaya hai

    tamasha sab nazar ka ho chuka bas

    badan ka rang gahra ho gaya hai

    wo aahaT aaj kaisi be-sada hai

    ye mujh mein kaun bahra ho gaya hai

    ye dariya sara patthar ban chuka hai

    ya ye ehsas gahra ho gaya hai

    parinda KHun se tar aankhon mein uDta

    safar apna sunahra ho gaya hai

    main jin saDkon par aksar ghumta tha

    wahan par aaj pahra ho gaya hai

    wo mera hath thame kah raha hai

    chalo ghar ab andhera ho gaya hai

    bas ek aawaz ghar mein gunjti hai

    zara so le sawera ho gaya hai

    sunega kya sitaron ki sadaen

    mera aakash bahra ho gaya hai

    bichhaD kar KHud se main rota tha pahron

    ye sadma bhi ikahra ho gaya hai

    main us ke gham mein 'ajmal' Dubta kya

    samundar aur gahra ho gaya he

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now