chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai
chashm tar hotī hai jab zikr tirā hotā hai
huuk uThtī hai to kuchh dard sivā hotā hai
qatra dariyā se judā ho ke havā hotā hai
hijr kī taab na laayā vo fanā hotā hai
raas aaya na kabhī ham ko tabīboñ kā ilaaj
jitnī piitā huuñ davā dard sivā hotā hai
jab hai āġhāz-e-mohabbat meñ hī aisī hālat
haal ab dekhiye anjām meñ kyā hotā hai
terī bhī chaal se uThte haiñ hazāroñ fitne
mere nāloñ se agar hashr bapā hotā hai
bebasī par mujhe ronā bhī nadāmat bhī hai
kis bure vaqt meñ zālim tū judā hotā hai
be-vafāoñ kī nazar kuchh merī taqdīr nahīñ
vo nazar pher leñ sau martaba kyā hotā hai
maanā yaktā-e-zamāna ho magar kyoñ sāhib
husn hone se bhalā goī ḳhudā hotā hai
kyoñ ḳhafā ho ga.e ik zikr-e-sitam hī to thā
dostoñ hī meñ to ai jaan gila hotā hai
aisī ThanDī havā barsāt kī rut dekh zarā
aisī hālat meñ kahāñ koī judā hotā hai
raaz kyā hai jo unheñ aaj mohabbat uTThī
hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafā hotā hai
hashr meñ vāda-e-dīdār to kuchh Thiik nahīñ
aaj dikhlāne meñ sūrat unheñ kyā hotā hai
rind-e-mai-nosh hai 'dīvān' ḳhudā kā banda
mat burā kah use kyoñ muft burā hotā hai
chashm tar hoti hai jab zikr tera hota hai
huk uThti hai to kuchh dard siwa hota hai
qatra dariya se juda ho ke hawa hota hai
hijr ki tab na laya wo fana hota hai
ras aaya na kabhi hum ko tabibon ka ilaj
jitni pita hun dawa dard siwa hota hai
jab hai aaghaz-e-mohabbat mein hi aisi haalat
haal ab dekhiye anjam mein kya hota hai
teri bhi chaal se uThte hain hazaron fitne
mere nalon se agar hashr bapa hota hai
bebasi par mujhe rona bhi nadamat bhi hai
kis bure waqt mein zalim tu juda hota hai
be-wafaon ki nazar kuchh meri taqdir nahin
wo nazar pher len sau martaba kya hota hai
mana yakta-e-zamana ho magar kyon sahib
husn hone se bhala goi KHuda hota hai
kyon KHafa ho gae ek zikr-e-sitam hi to tha
doston hi mein to ai jaan gila hota hai
aisi ThanDi hawa barsat ki rut dekh zara
aisi haalat mein kahan koi juda hota hai
raaz kya hai jo unhen aaj mohabbat uTThi
hai to kuchh baat jo ye uzr-e-jafa hota hai
hashr mein wada-e-didar to kuchh Thik nahin
aaj dikhlane mein surat unhen kya hota hai
rind-e-mai-nosh hai 'diwan' KHuda ka banda
mat bura kah use kyon muft bura hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.