chhoDiye daghon ko aaina badal kar dekhen
chhoḌiye dāġhoñ ko ā.īna badal kar dekheñ
aao ab aur nayā chehra badal kar dekheñ
aap batlā.iye ki kitnā badal kar dekheñ
kho deñ pahchān hī kyā itnā badal kar dekheñ
vo ye kahtā hai ki qismat meñ tirī pyaar nahīñ
dil ye kahtā hai ki ab totā badal kar dekheñ
narm lahje meñ use dekh liyā samjhā kar
aao ab ham bhī zarā lahja badal kar dekheñ
kitnā badle haiñ tujhe paane kī ummīd meñ ham
kyā kamī rah ga.ī aur kitnā badal kar dekheñ
dost ahbāb nazar ab nahīñ aate mere
aisā lagtā hai unheñ chashma badal kar dekheñ
Thokareñ khā liye ab thoḌā sañbhal jaate haiñ
aao 'ātif' ki chalo rastā badal kar dekheñ
chhoDiye daghon ko aaina badal kar dekhen
aao ab aur naya chehra badal kar dekhen
aap batlaiye ki kitna badal kar dekhen
kho den pahchan hi kya itna badal kar dekhen
wo ye kahta hai ki qismat mein teri pyar nahin
dil ye kahta hai ki ab tota badal kar dekhen
narm lahje mein use dekh liya samjha kar
aao ab hum bhi zara lahja badal kar dekhen
kitna badle hain tujhe pane ki ummid mein hum
kya kami rah gai aur kitna badal kar dekhen
dost ahbab nazar ab nahin aate mere
aisa lagta hai unhen chashma badal kar dekhen
Thokaren kha liye ab thoDa sanbhal jate hain
aao 'atif' ki chalo rasta badal kar dekhen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.