chup hain paon to rahguzar KHamosh
chup haiñ paaoñ to rahguzar ḳhāmosh
vaqt kī hiir kā safar ḳhāmosh
hijr kī bad-nasīb galiyoñ meñ
chāñd phirtā hai raat bhar ḳhāmosh
kaun niklā hai ḳhāna-e-dil se
kuchh dinoñ se haiñ bām-o-dar ḳhāmosh
koī hangāma boltā hī nahīñ
shaam ke lab pe chup sahar ḳhāmosh
yaad ke pur-malāl mausam meñ
phuul ḳhushbū havā shajar ḳhāmosh
ek khiḌkī se ajnabī āñkheñ
guftugū kartī haiñ magar ḳhāmosh
kyoñ 'shabānā' muhājiroñ kī tarah
phir rahī ho nagar nagar ḳhāmosh
chup hain paon to rahguzar KHamosh
waqt ki hir ka safar KHamosh
hijr ki bad-nasib galiyon mein
chand phirta hai raat bhar KHamosh
kaun nikla hai KHana-e-dil se
kuchh dinon se hain baam-o-dar KHamosh
koi hangama bolta hi nahin
sham ke lab pe chup sahar KHamosh
yaad ke pur-malal mausam mein
phul KHushbu hawa shajar KHamosh
ek khiDki se ajnabi aankhen
guftugu karti hain magar KHamosh
kyon 'shabana' muhajiron ki tarah
phir rahi ho nagar nagar KHamosh
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 345)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.