collage ka dalan nahin hai pyare zalim duniya hai
collage kā dālān nahīñ hai pyāre zālim duniyā hai
aur yahāñ sach bolne vaalā sach meñ sab se jhūTā hai
maiñ tere dīdār kī ḳhātir aa jaatā huuñ ḳhvāboñ tak
varna is lazzat ke alāva nīñdoñ meñ kyā rakkhā hai
chamkīle kapḌoñ se parkhā mat kar insānī lahje
gahre kuueñ meñ ujlā paanī kharā bhī ho saktā hai
va.ada kar ai dilkash laḌkī vasl se le kar hijr talak
rishta chāhe jaisā bhī ho ḳharcha apnā apnā hai
maiñ tere shikve bhī jānāñ bilkul aise suntā huuñ
jaise bachpan meñ koī bachcha ġhaur se qisse suntā hai
mere ḳhafā hone par us kā vo ulTā filmī jumla
pyaar se Dar nahīñ lagtā sāhab thappaḌ se Dar lagtā hai
jab logo ne saudā.ī kī laash utārī tab bole
ye to zinda mar hī chukā thā pañkhe se kyuuñ laTkā hai
maiñ is Dar se coffē piine tere saath nahīñ jaatā
tujh ko to coffē ke bahāne mujh se laḌnā hotā hai
mujh ko bone the dil meñ aur kisī ke ġham 'āfī'
lekin dil kī surḳhī zamīñ par ab tak us kā qabza hai
collage ka dalan nahin hai pyare zalim duniya hai
aur yahan sach bolne wala sach mein sab se jhuTa hai
main tere didar ki KHatir aa jata hun KHwabon tak
warna is lazzat ke alawa nindon mein kya rakkha hai
chamkile kapDon se parkha mat kar insani lahje
gahre kuen mein ujla pani khara bhi ho sakta hai
wada kar ai dilkash laDki wasl se le kar hijr talak
rishta chahe jaisa bhi ho KHarcha apna apna hai
main tere shikwe bhi jaanan bilkul aise sunta hun
jaise bachpan mein koi bachcha ghaur se qisse sunta hai
mere KHafa hone par us ka wo ulTa filmi jumla
pyar se Dar nahin lagta sahab thappaD se Dar lagta hai
jab logo ne saudai ki lash utari tab bole
ye to zinda mar hi chuka tha pankhe se kyun laTka hai
main is Dar se coffee pine tere sath nahin jata
tujh ko to coffee ke bahane mujh se laDna hota hai
mujh ko bone the dil mein aur kisi ke gham 'afi'
lekin dil ki surKHi zamin par ab tak us ka qabza hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.