dard aaKHir dard hai aah-o-fughan hoga zarur
dard āḳhir dard hai āh-o-fuġhāñ hogā zarūr
aag lagtī hai jahāñ par bhī dhuāñ hogā zarūr
maiñ zamāne se zamāna mujh se barham hai magar
ek din apnā zamīn-o-āsmāñ hogā zarūr
laakh lahrātī raheñ ye bijliyāñ chāroñ taraf
andalībān-e-chaman kā āshiyāñ hogā zarūr
azm-e-mohkam shart hai raḳht-e-safar meñ rāh-rau
nazd-e-manzil ek din ye kārvāñ hogā zarūr
kaun thā jo fikr-e-ālam par achānak chhā gayā
ho na ho koī hamāre darmiyāñ hogā zarūr
qabl is ke har qadam aage baḌhe ye soch kar
sar jahāñ TuuTā hai dīvāna vahāñ hogā zarūr
jā.eza lete raho 'hamdam' kitāb-e-zīst kā
aane vaalā kal tumhārā imtihāñ hogā zarūr
dard aaKHir dard hai aah-o-fughan hoga zarur
aag lagti hai jahan par bhi dhuan hoga zarur
main zamane se zamana mujh se barham hai magar
ek din apna zamin-o-asman hoga zarur
lakh lahraati rahen ye bijliyan chaaron taraf
andaliban-e-chaman ka aashiyan hoga zarur
azm-e-mohkam shart hai raKHt-e-safar mein rah-rau
nazd-e-manzil ek din ye karwan hoga zarur
kaun tha jo fikr-e-alam par achanak chha gaya
ho na ho koi hamare darmiyan hoga zarur
qabl is ke har qadam aage baDhe ye soch kar
sar jahan TuTa hai diwana wahan hoga zarur
jaeza lete raho 'hamdam' kitab-e-zist ka
aane wala kal tumhaara imtihan hoga zarur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.