dard-e-furqat se qarabat si hui jati hai
dard-e-furqat se qarābat sī huī jaatī hai
haa.e ye bhī mirī aadat sī huī jaatī hai
uf dam-e-naz.a bhar aa.ī haiñ ye kis kī āñkheñ
mujh ko jiine kī zarūrat sī huī jaatī hai
rashk kī ye ḳhirad-āshobiyāñ allāh allāh
apne saaya se bhī vahshat sī huī jaatī hai
husn āmāda-e-takmīl-e-jafā hai ai dost
phir mujhe apnī zarūrat sī huī jaatī hai
jaur-e-paiham meñ zarā jiddateñ paidā kiije
lazzat-e-ġham mirī aadat sī huī jaatī hai
bā.is-e-sahv do-ālam thī kabhī bāda-kashī
aur ye ab to ibādat sī huī jaatī hai
jab se samjhā huuñ maiñ taḳhlīq kā maqsad 'bismil'
zarre zarre se mohabbat sī huī jaatī hai
dard-e-furqat se qarabat si hui jati hai
hae ye bhi meri aadat si hui jati hai
uf dam-e-naza bhar aai hain ye kis ki aankhen
mujh ko jine ki zarurat si hui jati hai
rashk ki ye KHirad-ashobiyan allah allah
apne saya se bhi wahshat si hui jati hai
husn aamada-e-takmil-e-jafa hai ai dost
phir mujhe apni zarurat si hui jati hai
jaur-e-paiham mein zara jiddaten paida kije
lazzat-e-gham meri aadat si hui jati hai
bais-e-sahw do-alam thi kabhi baada-kashi
aur ye ab to ibaadat si hui jati hai
jab se samjha hun main taKHliq ka maqsad 'bismil'
zarre zarre se mohabbat si hui jati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.