Dasti shamon tapti subhon jalti dopahron ke siwa
Dastī shāmoñ taptī sub.hoñ jaltī dopahroñ ke sivā
ham tīra-baḳhtoñ ko haa.e kuchh na milā rahroñ ke sivā
āñkhoñ ke in ā.īnoñ meñ ham ko saare 'aks mile
varna kyā shīshoñ ne dikhāyā logoñ ko chehroñ ke sivā
sāhil par to jo aatā hai pyaas bujhāne aatā hai
sāhil ke hoñToñ ko chūme kaun bhalā lahroñ ke sivā
mahfil-mahfil she'r sunā kar maiñ ne kyā paayā āḳhir
is bastī meñ koī nahīñ jaise gūñgoñ bahroñ ke sivā
jin ke naam safar likkhā ho vahshat ke bāzāroñ kā
vo dīvāne sahrā-sahrā kyoñ bhaTkeñ shahroñ ke sivā
Dasti shamon tapti subhon jalti dopahron ke siwa
hum tira-baKHton ko hae kuchh na mila rahron ke siwa
aankhon ke in aainon mein hum ko sare 'aks mile
warna kya shishon ne dikhaya logon ko chehron ke siwa
sahil par to jo aata hai pyas bujhane aata hai
sahil ke honTon ko chume kaun bhala lahron ke siwa
mahfil-mahfil she'r suna kar main ne kya paya aaKHir
is basti mein koi nahin jaise gungon bahron ke siwa
jin ke nam safar likkha ho wahshat ke bazaron ka
wo diwane sahra-sahra kyon bhaTken shahron ke siwa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.