dekhi na marte marte bhi surat habib ki
dekhī na marte marte bhī sūrat habīb kī
qismat to dekhnā koī is be-nasīb kī
ai jaan jald aa nahīñ tāḳhīr kā ye vaqt
hālat bahut burī hai dil-e-nā-shakeb kī
ai sarv sab kī nazroñ se gir jā.egā abhī
tū hamsarī na kījiyo us jāma-zeb kī
aane lagā hai baaġh meñ sayyād sub.h-o-shām
ab būd-o-bāsh ho chukī yaañ andalīb kī
maktab meñ gar nashist rahī terī ai sanam
to sub.h-o-shām ḳhush lage sohbat adiib kī
tū laakh gāliyāñ mujhe de le abhī miyāñ
par baat mere sāmne mat kar raqīb kī
kyoñ dekhtā hai nabz ye bīmār-e-ishq kī
'afsos' aaj aql kidhar hai tabīb kī
dekhi na marte marte bhi surat habib ki
qismat to dekhna koi is be-nasib ki
ai jaan jald aa nahin taKHir ka ye waqt
haalat bahut buri hai dil-e-na-shakeb ki
ai sarw sab ki nazron se gir jaega abhi
tu hamsari na kijiyo us jama-zeb ki
aane laga hai bagh mein sayyaad subh-o-sham
ab bud-o-bash ho chuki yan andalib ki
maktab mein gar nashist rahi teri ai sanam
to subh-o-sham KHush lage sohbat adib ki
tu lakh galiyan mujhe de le abhi miyan
par baat mere samne mat kar raqib ki
kyon dekhta hai nabz ye bimar-e-ishq ki
'afsos' aaj aql kidhar hai tabib ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.