dekhiye to shajar bhi lagta hai
dekhiye to shajar bhī lagtā hai
chhūnā chāheñ to Dar bhī lagtā hai
terī yādeñ bhī saath rahtī haiñ
aur tanhā safar bhī lagtā hai
mausamoñ kā qusūr hai varna
shāḳh par to samar bhī lagtā hai
koī aahaT koī nishān nahīñ
kyoñ tumhārā guzar bhī lagtā hai
un ke aane se ye huā ma.alūm
ik payambar bashar bhī lagtā hai
apne alfāz ko tarāsh 'nisār'
baat karnā hunar bhī lagtā hai
dekhiye to shajar bhi lagta hai
chhuna chahen to Dar bhi lagta hai
teri yaaden bhi sath rahti hain
aur tanha safar bhi lagta hai
mausamon ka qusur hai warna
shaKH par to samar bhi lagta hai
koi aahaT koi nishan nahin
kyon tumhaara guzar bhi lagta hai
un ke aane se ye hua malum
ek payambar bashar bhi lagta hai
apne alfaz ko tarash 'nisar'
baat karna hunar bhi lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.