der se dil par asar karta hun main
der se dil par asar kartā huuñ maiñ
kaam mushkil hai magar kartā huuñ maiñ
maiñ tujhe ḳhud se judā kaise karūñ
jaan jaatī hai agar kartā huuñ maiñ
maiñ hī maiñ huuñ jis taraf jaatā hai tū
tū hī tū hai ruḳh jidhar kartā huuñ maiñ
rauñdtā huuñ rāste pairoñ tale
nāchte gaate safar kartā huuñ maiñ
phuul se kartā huuñ maiñ ḳhushbū kashīd
rā.egānī ko samar kartā huuñ maiñ
be-gharī 'adnān' baḌh jaatī hai kyoñ
jab kisī ke dil meñ ghar kartā huuñ maiñ
der se dil par asar karta hun main
kaam mushkil hai magar karta hun main
main tujhe KHud se juda kaise karun
jaan jati hai agar karta hun main
main hi main hun jis taraf jata hai tu
tu hi tu hai ruKH jidhar karta hun main
raundta hun raste pairon tale
nachte gate safar karta hun main
phul se karta hun main KHushbu kashid
raegani ko samar karta hun main
be-ghari 'adnan' baDh jati hai kyon
jab kisi ke dil mein ghar karta hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.