dhuli hui hain fazaen tere badan ki tarah
dhulī huī haiñ fazā.eñ tire badan kī tarah
khulī huī hai dhanak rang-e-pairahan kī tarah
ye kyā ġhazab hai ki is shahr meñ tire hote
bhaTak rahī hai nazar ek be-vatan kī tarah
huī vo sub.h vo chamkī pahāḌ kī choTī
vo āftāb nikaltā hai kohkan kī tarah
charāġh-e-dair-o-haram se to raushnī na huī
hamāre dil kī tarah terī anjuman kī tarah
ye kahkashāñ kī falak pe lakīr hai 'rif.at'
jabīn-e-nāz pe Thahrī huī shikan kī tarah
dhuli hui hain fazaen tere badan ki tarah
khuli hui hai dhanak rang-e-pairahan ki tarah
ye kya ghazab hai ki is shahr mein tere hote
bhaTak rahi hai nazar ek be-watan ki tarah
hui wo subh wo chamki pahaD ki choTi
wo aaftab nikalta hai kohkan ki tarah
charagh-e-dair-o-haram se to raushni na hui
hamare dil ki tarah teri anjuman ki tarah
ye kahkashan ki falak pe lakir hai 'rifat'
jabin-e-naz pe Thahri hui shikan ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.