dhup kyunkar na ho itab-zada
dhuup kyūñkar na ho itāb-zada
saaya saaya hai āftāb-zada
niiñd aanā vahāñ burā kyoñ hai
jāgnā bhī jahāñ ho ḳhvāb-zada
hai tabhī se hujūm sāhil par
jab se tūfāñ hue habāb-zada
bahr kī kaifiyat ḳhudā kī panāh
qatra qatra hai sail-e-āb-zada
le ke rone se muskurāne tak
kyā nahīñ aaj iztirāb-zada
kaise āḳhir shanāḳht karte ham
dost dushman the sab naqāb-zada
be-maza imtihān-e-zīst huā
har savāl aa gayā javāb-zada
khul ke milte 'nihāl' kyā jis kī
be-hijābī bhī thī hijāb-zada
dhup kyunkar na ho itab-zada
saya saya hai aaftab-zada
nind aana wahan bura kyon hai
jagna bhi jahan ho KHwab-zada
hai tabhi se hujum sahil par
jab se tufan hue habab-zada
bahr ki kaifiyat KHuda ki panah
qatra qatra hai sail-e-ab-zada
le ke rone se muskurane tak
kya nahin aaj iztirab-zada
kaise aaKHir shanaKHt karte hum
dost dushman the sab naqab-zada
be-maza imtihan-e-zist hua
har sawal aa gaya jawab-zada
khul ke milte 'nihaal' kya jis ki
be-hijabi bhi thi hijab-zada
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.