dil bahalne ki rah karta hun
dil bahalne kī raah kartā huuñ
jo na karnā ho aah kartā huuñ
e.atibār-e-nigāh kartā huuñ
ye agar hai gunāh kartā huuñ
ek but se nibāh kartā huuñ
dil kī duniyā tabāh kartā huuñ
husn-e-sarmad kī chaah kartā huuñ
āsmāñ par nigāh kartā huuñ
e.atibār-e-nigāh kartā huuñ
kitnā mauzūñ gunāh kartā huuñ
soz-e-ġham se nibāh kartā huuñ
be-ḳhudī ko gavāh kartā huuñ
mai-parastī savāb hai zāhid
ye agar hai gunāh kartā huuñ
kaun hotā hai is tarah maa.il
tum hasīñ ho nigāh kartā huuñ
terī rahmat kā aasrā le kar
har safed-o-siyāh kartā huuñ
'shād' rakhne ke aap zāmin haiñ
fikr maiñ ḳhvāh-maḳhvāh kartā huuñ
dil bahalne ki rah karta hun
jo na karna ho aah karta hun
eatibar-e-nigah karta hun
ye agar hai gunah karta hun
ek but se nibah karta hun
dil ki duniya tabah karta hun
husn-e-sarmad ki chah karta hun
aasman par nigah karta hun
eatibar-e-nigah karta hun
kitna mauzun gunah karta hun
soz-e-gham se nibah karta hun
be-KHudi ko gawah karta hun
mai-parasti sawab hai zahid
ye agar hai gunah karta hun
kaun hota hai is tarah mail
tum hasin ho nigah karta hun
teri rahmat ka aasra le kar
har safed-o-siyah karta hun
'shad' rakhne ke aap zamin hain
fikr main KHwah-maKHwah karta hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.