dil bhar aatā hai jo vo is dil-e-nāshād ke saath
vo bhī rote haiñ mire nāla-o-fariyād ke saath
lab pe jaan aatī hai āh-e-dil-e-nāshād ke saath
muñh ko aatā hai jigar nāla-o-fariyād ke saath
naam kyūñkar na hasīnoñ kā ho bedād ke saath
bevafā.ī bhī ho jab husn-e-ḳhudā-dād ke saath
samjhā maiñ dekh ke ye qumrī-o-shamshād ke saath
ik giraftār bhī rahtā hai is āzād ke saath
baḌh gayā uns jo barsoñ kī asīrī meñ mujhe
ho ke āzād bhī rahtā huuñ maiñ sayyād ke saath
samjhūñ gulzār-e-barāhīm se baḌh kar us ko
aag meñ kuud paḌūñ aap ke irshād ke saath
shauq hai zevar-e-vahshat ke pahanne kā unheñ
tere dīvāne phirā karte haiñ haddād ke saath
kyā irāda hai mire sar ke judā karne kā
kyoñ talab mujh ko kiyā aap ne jallād ke saath
hashr tak ruuh paristāñ meñ rahegī merī
uḌ gayā tā.ir-e-jāñ ek parī-zād ke saath
dil mirā le ke kareñge na kabhī vo barbād
koī kartā hai badī āshiq-e-nāshād ke saath
dekhiye kaunsā ab fitna bapā hotā hai
roz rahte haiñ raqīb us sitam-ījād ke saath
charkā de kar mirī gardan se uThā.ī talvār
aa gayā rahm bhī jallād ko bedād ke saath
kaun kahtā hai nahīñ nāla-o-shevan meñ asar
dil taḌap jaatā hai un kā mirī fariyād ke saath
ġhaiz aaya jo dam-e-qatl mire qātil ko
teġh-e-abrū bhī khiñche ḳhanjar-e-bedād ke saath
rakh deñ qirtās-o-qalam sāmne mere donoñ
naqsha khīñchūñ jo kabhī 'mānī'-o-'bahzād' ke saath
vaqt-e-bad meñ ye hasīñ saaf nikal jaate haiñ
daam meñ gul na phañse bulbul-e-nāshād ke saath
dost dushman kā kiyā shauq-e-shahādat ne mujhe
saaye kī tarah se rahtā huuñ maiñ jallād ke saath
ḳhuun qātil ke chhuḌāne se na chhūTā merā
misl jauhar ke rahā ḳhanjar-e-faulād ke saath
ragḌe de de ke uThā le na gale se ḳhanjar
kaaT sar ko sitam-ījād na bedād ke saath
pūchh letā huuñ ḳhabar jā ke maiñ un se har roz
kyā kiyā aap ne mere dil-e-nāshād ke saath
le gayā un se fan-e-sher meñ baazī 'fāḳhir'
ma.arka aa ke paḌā jab kisī ustād ke saath
dil bhar aata hai jo wo is dil-e-nashad ke sath
wo bhi rote hain mere nala-o-fariyaad ke sath
lab pe jaan aati hai aah-e-dil-e-nashad ke sath
munh ko aata hai jigar nala-o-fariyaad ke sath
nam kyunkar na hasinon ka ho bedad ke sath
bewafai bhi ho jab husn-e-KHuda-dad ke sath
samjha main dekh ke ye qumri-o-shamshad ke sath
ek giraftar bhi rahta hai is aazad ke sath
baDh gaya uns jo barson ki asiri mein mujhe
ho ke aazad bhi rahta hun main sayyaad ke sath
samjhun gulzar-e-barahim se baDh kar us ko
aag mein kud paDun aap ke irshad ke sath
shauq hai zewar-e-wahshat ke pahanne ka unhen
tere diwane phira karte hain haddad ke sath
kya irada hai mere sar ke juda karne ka
kyon talab mujh ko kiya aap ne jallad ke sath
hashr tak ruh paristan mein rahegi meri
uD gaya tair-e-jaan ek pari-zad ke sath
dil mera le ke karenge na kabhi wo barbaad
koi karta hai badi aashiq-e-nashad ke sath
dekhiye kaunsa ab fitna bapa hota hai
roz rahte hain raqib us sitam-ijad ke sath
charka de kar meri gardan se uThai talwar
aa gaya rahm bhi jallad ko bedad ke sath
kaun kahta hai nahin nala-o-shewan mein asar
dil taDap jata hai un ka meri fariyaad ke sath
ghaiz aaya jo dam-e-qatl mere qatil ko
tegh-e-abru bhi khinche KHanjar-e-bedad ke sath
rakh den qirtas-o-qalam samne mere donon
naqsha khinchun jo kabhi 'mani'-o-'bahzad' ke sath
waqt-e-bad mein ye hasin saf nikal jate hain
dam mein gul na phanse bulbul-e-nashad ke sath
dost dushman ka kiya shauq-e-shahadat ne mujhe
saye ki tarah se rahta hun main jallad ke sath
KHun qatil ke chhuDane se na chhuTa mera
misl jauhar ke raha KHanjar-e-faulad ke sath
ragDe de de ke uTha le na gale se KHanjar
kaT sar ko sitam-ijad na bedad ke sath
puchh leta hun KHabar ja ke main un se har roz
kya kiya aap ne mere dil-e-nashad ke sath
le gaya un se fan-e-sher mein bazi 'faKHir'
marka aa ke paDa jab kisi ustad ke sath
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.