dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai
dil hai ki hameñ phir se udhar le ke chalā hai
ummīd se phir rishta-e-jāñ bāñdh liyā hai
aahaT pe na chauñko ki na aa.egī yahāñ maut
dastak pe na jaao ki ye āvāra huā hai
ab sañg mudāvā nahīñ āshufta-sarī kā
yaañ sañg se bhī phoḌ ke sar dekh liyā hai
kyā kījiye har kāvish-e-darmāñ huī mahdūd
har jāda-e-imkāñ hai ki masdūd huā hai
zinda haiñ bahar-taur ki marnā nahīñ bas meñ
tā-umr hamāre liye jiine kī sazā hai
ai dil kabhī patthar bhī kahīñ mom hue haiñ
jo ḳhvāb meñ dekhā hai kahīñ sach bhī huā hai
dil hai ki hamein phir se udhar le ke chala hai
ummid se phir rishta-e-jaan bandh liya hai
aahaT pe na chaunko ki na aaegi yahan maut
dastak pe na jao ki ye aawara hua hai
ab sang mudawa nahin aashufta-sari ka
yan sang se bhi phoD ke sar dekh liya hai
kya kijiye har kawish-e-darman hui mahdud
har jada-e-imkan hai ki masdud hua hai
zinda hain bahar-taur ki marna nahin bas mein
ta-umr hamare liye jine ki saza hai
ai dil kabhi patthar bhi kahin mom hue hain
jo KHwab mein dekha hai kahin sach bhi hua hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.