dil ka jahan-e-tira chahak kar sanwar gaya
dil kā jahān-e-tīrā chahak kar sañvar gayā
jalva tirā nazar se jo dil tak utar gayā
muddat ke baa'd dil se phir ubhrā hai sail-e-ashk
maiñ ye samajh rahā thā ye tūfāñ utar gayā
jin ke sivā ghaḌī bhī guzarnā muhāl thī
un kī ḳhabar na aa.ī zamāna guzar gayā
afsurda-dil thī is pe bhī duniyā agarche maiñ
mahfil meñ terī misl-e-nasīm-e-sahar gayā
tum muskurā ke ek taraf ho ga.e yahāñ
aañsū nahīñ thame haiñ zamāna guzar gayā
'āzād' sirf ek hī chehra nazar meñ hai
tūfān-e-husn agarche nazar se guzar gayā
dil ka jahan-e-tira chahak kar sanwar gaya
jalwa tera nazar se jo dil tak utar gaya
muddat ke ba'd dil se phir ubhra hai sail-e-ashk
main ye samajh raha tha ye tufan utar gaya
jin ke siwa ghaDi bhi guzarna muhaal thi
un ki KHabar na aai zamana guzar gaya
afsurda-dil thi is pe bhi duniya agarche main
mahfil mein teri misl-e-nasim-e-sahar gaya
tum muskura ke ek taraf ho gae yahan
aansu nahin thame hain zamana guzar gaya
'azad' sirf ek hi chehra nazar mein hai
tufan-e-husn agarche nazar se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.