dil ke nagar mein chaar taraf jab gham ki duhai baiTh gai
dil ke nagar mein chaar taraf jab gham ki duhai baiTh gai
Mushafi Ghulam Hamdani
MORE BYMushafi Ghulam Hamdani
dil ke nagar meñ chaar taraf jab ġham kī duhā.ī baiTh ga.ī
sar pe hamāre dast-e-qazā se teġh-e-judā.ī baiTh ga.ī
ham haiñ faqīr allāh ke yaaro phir is kā hai parekhā kyā
gar ham paas bhī aa kar koī bahnī maa.ī baiTh ga.ī
sun ke adā-e-ġham kī tere sabr-o-shakeb haiñ bhāgne par
paañv Thaharne mushkil haiñ jab dhaak parā.ī baiTh ga.ī
ai dil us bāñkīt se hargiz shuġhl na kar tū lakḌī kā
haath qalam hai phir terā gar ek bhī ghaa.ī baiTh ga.ī
teġh-e-jafā lī myaan se apne jab us jaan ke dushman ne
sar ko jhukā kar apne apne, saarī ḳhudā.ī baiTh ga.ī
'mus.hafī' kyā pūchhe hai divāne haal safā-e-dil kā mire
thā to ye ā.īna raushan par ab kaa.ī baiTh ga.ī
dil ke nagar mein chaar taraf jab gham ki duhai baiTh gai
sar pe hamare dast-e-qaza se tegh-e-judai baiTh gai
hum hain faqir allah ke yaro phir is ka hai parekha kya
gar hum pas bhi aa kar koi bahni mai baiTh gai
sun ke ada-e-gham ki tere sabr-o-shakeb hain bhagne par
panw Thaharne mushkil hain jab dhak parai baiTh gai
ai dil us bankit se hargiz shughl na kar tu lakDi ka
hath qalam hai phir tera gar ek bhi ghai baiTh gai
tegh-e-jafa li myan se apne jab us jaan ke dushman ne
sar ko jhuka kar apne apne, sari KHudai baiTh gai
'mushafi' kya puchhe hai diwane haal safa-e-dil ka mere
tha to ye aaina raushan par ab kai baiTh gai
- Book : kulliyat-e-mas.hafii(divan-e-soom) (Pg. 208)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.