dil ki gali mein ab tak hain pech-o-tab kya kya
dil kī galī meñ ab tak haiñ pech-o-tāb kyā kyā
utre haiñ is jahāñ meñ yuuñ to 'azāb kyā kyā
hai dastaras meñ sab kuchh hone se ik hañsī ke
dete haiñ log mujh ko jaane ḳhitāb kyā kyā
sīkhe haiñ har qadam par asbāq-e-zindagānī
pahuñche haiñ manziloñ tak ho kar ḳharāb kyā kyā
karte haiñ ratjage jab tā'bīr kā ta'āqub
lagte haiñ toḌne dam āñkhoñ meñ ḳhvāb kyā kyā
duniyā-e-muztarib meñ tanhā bhaTak rahe haiñ
tere savāl kyā kyā mere javāb kyā kyā
dil ki gali mein ab tak hain pech-o-tab kya kya
utre hain is jahan mein yun to 'azab kya kya
hai dastaras mein sab kuchh hone se ek hansi ke
dete hain log mujh ko jaane KHitab kya kya
sikhe hain har qadam par asbaq-e-zindagani
pahunche hain manzilon tak ho kar KHarab kya kya
karte hain ratjage jab ta'bir ka ta'aqub
lagte hain toDne dam aankhon mein KHwab kya kya
duniya-e-muztarib mein tanha bhaTak rahe hain
tere sawal kya kya mere jawab kya kya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.