dil pe kaisa ghubar rahta hai
dil pe kaisā ġhubār rahtā hai
har ghaḌī be-qarār rahtā hai
chashm-e-mai-bār ke tasavvur se
halkā halkā ḳhumār rahtā hai
saath un kā nahīñ nasīb mirā
phir bhī kyoñ intizār rahtā hai
apne hisse se baḌh ke pā kar bhī
ḳhvāhishoñ kā shumār rahtā hai
muskurā deñ to saare gulshan meñ
mausam-e-dil-bahār rahtā hai
āsmāñ un ke ek aañsū par
muddatoñ ashk-bār rahtā hai
sāmne jin ke lab nahīñ khulte
dil unhī par nisār rahtā hai
jism lāġhar ho chāhe jitnā bhī
phir bhī joban pe pyaar rahtā hai
jiit paatā hai rāhvār magar
surḳh-rū shahsavār rahtā hai
phuul rahtā hai phuul hī har jā
ḳhaar har jā hī ḳhaar rahtā hai
saath pyāroñ kā ho agar 'shāhīn'
zindagī se bhī pyaar rahtā hai
dil pe kaisa ghubar rahta hai
har ghaDi be-qarar rahta hai
chashm-e-mai-bar ke tasawwur se
halka halka KHumar rahta hai
sath un ka nahin nasib mera
phir bhi kyon intizar rahta hai
apne hisse se baDh ke pa kar bhi
KHwahishon ka shumar rahta hai
muskura den to sare gulshan mein
mausam-e-dil-bahaar rahta hai
aasman un ke ek aansu par
muddaton ashk-bar rahta hai
samne jin ke lab nahin khulte
dil unhi par nisar rahta hai
jism laghar ho chahe jitna bhi
phir bhi joban pe pyar rahta hai
jit pata hai rahwar magar
surKH-ru shahsawar rahta hai
phul rahta hai phul hi har ja
KHar har ja hi KHar rahta hai
sath pyaron ka ho agar 'shahin'
zindagi se bhi pyar rahta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.